Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aalam-shagufta hun jo main aafat-rasida hun

Ameer Minai

aalam-shagufta hun jo main aafat-rasida hun

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    a.alam-shagufta huuñ jo maiñ āfat-rasīda huuñ

    sub.h-e-bahār huuñ jo garebāñ-darīda huuñ

    matlab samt ruḳh hai mirā vo rsīda huuñ

    goyā qasīde meñ maiñ gurez-e-qasīda huuñ

    rāġhib mirī taraf hai koī dil na koī gosh

    bazm-e-jahāñ meñ harf-e-mukarrar shunīda huuñ

    mere safā-e-dil ne jo khole haiñ mere aib

    sharminda misal-e-zañgī-e-ā.īna diida huuñ

    maahī tarah hai mujhe marham vo āb-e-teġh

    kyā mubtalā-e-dard-e-gulū-e-burīda huuñ

    zabt-e-fuġhāñ sikhā.ūñ maiñ auroñ ko huuñ jo ḳhaak

    surma pay-e-sadā-e-gulū-e-burīda huuñ

    chehre pe us ke matla-e-abrū hai ye qaul

    dīvān-e-'anvarī' maiñ mazmūn-e-chīda huuñ

    zulm-e-jahāñ na daur-e-falak mujhe ḳhayāl

    dariyā ke josh meñ tah-e-pul ārmīda huuñ

    ai ahl-e-bazm mujh ko uThāo na bazm se

    sham.a-e-sahar huuñ umr-e-bayābāñ-rsīda huuñ

    maiñ aur jam haiñ pīr-e-muġhāñ do tire murīd

    lekin vo bad-aqīda hai maiñ ḳhush-aqīda huuñ

    majrūh-e-teġh-e-husn huā kab ḳhabar nahīñ

    yūsuf jalva-gāh meñ dast-e-burīda huuñ

    maarā hai ahal-e-kibr ne parde meñ ijz ke

    maiñ be-ḳhabar to kushta-e-teġh-e-kHamīda huuñ

    ab tak kisī pe merī haqīqat nahīñ khulī

    harf-e-na-gufta huuñ suḳhan-e-nā-shunīda huuñ

    paidā kiye sharm ilāhī zarūr hai

    to āfrīd-gār hai maiñ āfrīda huuñ

    sahrā ko kapḌe phaaḌ ke chaltā huuñ ai junūñ

    pā-e-shikasta huuñ na maiñ dast-e-burīda huuñ

    huuñ dushmanoñ meñ par nahīñ faryād majāl

    battīs dāñtoñ meñ maiñ zabān-e-burīda huuñ

    bahtā hai yād-e-ruḳh meñ to kahtā hai tifl-e-ashk

    yūsuf ke ḳhāndān maiñ nūr-e-dīda huuñ

    matlab ḳhizāñ se kuchh na ġharaz hai bahār se

    donoñ se misl-e-sard maiñ dāman-kashīda huuñ

    dekhūñ kisī ke aib to kyā ḳhaak kah sakūñ

    haañ ġham se ā.īne tarah ābdīda huuñ

    kahtā hai murġh-e-rūh ajal se Darā huā

    sayyād mere pīchhe maiñ said-e-ramīda huuñ

    bulbul huuñ maiñ na gul huuñ gulistān-e-dahr meñ

    haañ ik par-e-shikasta-o-rañg-e-burīda huuñ

    shabnam ke ai 'amīr' mile haiñ mujhe nasīb

    gul hañs paḌeñ chaman meñ jo maiñ āb-dīda huuñ

    aalam-shagufta hun jo main aafat-rasida hun

    subh-e-bahaar hun jo gareban-darida hun

    matlab ki samt ruKH hai mera wo rsida hun

    goya qaside mein main gurez-e-qasida hun

    raghib meri taraf hai koi dil na koi gosh

    bazm-e-jahan mein harf-e-mukarrar shunida hun

    mere safa-e-dil ne jo khole hain mere aib

    sharminda misal-e-zangi-e-aina dida hun

    mahi ki tarah hai mujhe marham wo aab-e-tegh

    kya mubtala-e-dard-e-gulu-e-burida hun

    zabt-e-fughan sikhaun main auron ko hun jo KHak

    surma pay-e-sada-e-gulu-e-burida hun

    chehre pe us ke matla-e-abru ka hai ye qaul

    diwan-e-'anwari' ka main mazmun-e-chida hun

    zulm-e-jahan na daur-e-falak ka mujhe KHayal

    dariya ke josh mein tah-e-pul aarmida hun

    ai ahl-e-bazm mujh ko uThao na bazm se

    shama-e-sahar hun umr-e-bayaban-rsida hun

    main aur jam hain pir-e-mughan do tere murid

    lekin wo bad-aqida hai main KHush-aqida hun

    majruh-e-tegh-e-husn hua kab KHabar nahin

    yusuf ki jalwa-gah mein dast-e-burida hun

    mara hai ahal-e-kibr ne parde mein ijz ke

    main be-KHabar to kushta-e-tegh-e-kHamida hun

    ab tak kisi pe meri haqiqat nahin khuli

    harf-e-na-gufta hun suKHan-e-na-shunida hun

    paida kiye ki sharm ilahi zarur hai

    to aafrid-gar hai main aafrida hun

    sahra ko kapDe phaD ke chalta hun ai junun

    pa-e-shikasta hun na main dast-e-burida hun

    hun dushmanon mein par nahin faryaad ki majal

    battis danton mein main zaban-e-burida hun

    bahta hai yaad-e-ruKH mein to kahta hai tifl-e-ashk

    yusuf ke KHandan ka main nur-e-dida hun

    matlab KHizan se kuchh na gharaz hai bahaar se

    donon se misl-e-sard main daman-kashida hun

    dekhun kisi ke aib to kya KHak kah sakun

    han gham se aaine ki tarah aabdida hun

    kahta hai murgh-e-ruh ajal se Dara hua

    sayyaad mere pichhe main said-e-ramida hun

    bulbul hun main na gul hun gulistan-e-dahr mein

    han ek par-e-shikasta-o-rang-e-burida hun

    shabnam ke ai 'amir' mile hain mujhe nasib

    gul hans paDen chaman mein jo main aab-dida hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now