ai tegh-e-yar mil ke gale se juda na ho
ai teġh-e-yār mil ke gale se judā na ho
ab rūThne kā vaqt nahīñ hai ḳhafā na ho
vo kyā ḳhirām-e-nāz hai jo fitna-zā na ho
vo fitna kyā hai jis se qiyāmat bapā na ho
husn-o-vafā kā saath to ai dil huā na ho
ma.ashūq naam usī kā hai jis meñ vafā na ho
merī nigāh-e-yās kī ik choT khā to le
be-dard phir maiñ dekhūñ ki dard-āshnā na ho
chaTkā chaman meñ ġhuncha to bolā jhijhak ke yaar
TuuTā kahīñ mirā hī ye band-e-qabā na ho
muusā paḌe haiñ ġhash meñ taḌaptī hai barq-e-tūr
parda tumhāre ruḳh se kahīñ haT gayā na ho
hañste haiñ ochhe zaḳhm to ḳhush ho ke tū bhī hañs
ye to hañsī kī baat hai zālim ḳhafā na ho
ai zo.af is qadar to ghulā mere jism ko
ā.īne meñ bhī shakl mirī rūnumā na ho
har vaar meñ namak kī bhī chuTkī chalī hī jaa.e
kis kaam kī taḌap hai vo jis meñ mazā na ho
hasrat se dekhtā huuñ jo un kī taraf 'amīr'
kahte haiñ dekho dekho koī dekhtā na ho
ai tegh-e-yar mil ke gale se juda na ho
ab ruThne ka waqt nahin hai KHafa na ho
wo kya KHiram-e-naz hai jo fitna-za na ho
wo fitna kya hai jis se qiyamat bapa na ho
husn-o-wafa ka sath to ai dil hua na ho
mashuq nam usi ka hai jis mein wafa na ho
meri nigah-e-yas ki ek choT kha to le
be-dard phir main dekhun ki dard-ashna na ho
chaTka chaman mein ghuncha to bola jhijhak ke yar
TuTa kahin mera hi ye band-e-qaba na ho
musa paDe hain ghash mein taDapti hai barq-e-tur
parda tumhaare ruKH se kahin haT gaya na ho
hanste hain ochhe zaKHm to KHush ho ke tu bhi hans
ye to hansi ki baat hai zalim KHafa na ho
ai zoaf is qadar to ghula mere jism ko
aaine mein bhi shakl meri runuma na ho
har war mein namak ki bhi chuTki chali hi jae
kis kaam ki taDap hai wo jis mein maza na ho
hasrat se dekhta hun jo un ki taraf 'amir'
kahte hain dekho dekho koi dekhta na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.