wasl ki raat to rahat se basar hone do
vasl kī raat to rāhat se basar hone do
shaam hī se hai ye dhamkī ki sahar hone do
nāvak-e-nāz kā pahlū meñ guzar hone do
kab se barbād hai ābād ye ghar hone do
dekhnā kaisī barābar kī paḌeñgī choTeñ
yaar kā ā.īna-ḳhāne meñ guzar hone do
vasl ho qatl ho jo madd-e-nazar ho hojāye
yā idhar hone do yā mujh ko udhar hone do
jis ne ye dard diyā hai vo davā bhī degā
lā-davā hai jo mirā dard-e-jigar hone do
maiñ ġharīb aur ġharīboñ kā ḳhudā vaalī hai
hone do saare zamāne ko udhar hone do
tilmilāne meñ taḌapne meñ kamī kī kis din
hai jo is par bhī ḳhafā dard-e-jigar hone do
kibr sab ḳhaak meñ mil jā.egā maġhrūroñ kā
ik zarā gor-e-ġharībāñ meñ guzar hone do
zikr ruḳhsat kā abhī se na kaaro baiTho bhī
jān-e-man raat guzarne do sahar hone do
ham tasavvur meñ na khīñcheñ ye na hogā ham se
laakh nāzuk hai hasīnoñ kī kamar hone do
tū sahī mujh se sivā sabr taḌap kar chīḳhe
mere dil tak to zarā us kā guzar hone do
vasl-e-dushman kī ḳhabar mujh se abhī kuchh na kaho
Thahro Thahro mujhe apnī to ḳhabar hone do
haa.e vo vasl kī shab un kā adā se kahnā
bāñdhne do mujhe juuḌe ko sahar hone do
jaag kar kāTte haiñ hijr meñ ham bhī rāteñ
rat-jage hote haiñ gar ġhair ke ghar hone do
shauq se tum ho dar-o-bām pe sargarm-e-ḳhirām
donoñ a.alam hoñ agar zer-o-zabar hone do
aane do aane do zulfoñ ko zarā gāloñ par
shāhid-e-shab ko ham-āġhosh-e-sahar hone do
ḳhvāb meñ aake vo bole mere armānoñ se
be-ḳhabar ko na ḳhabar-dār ḳhabar hone do
chheḌte kyuuñ ho javānī meñ hasīnoñ ko 'amīr'
raat hī bhar kā ye joban hai sahar hone do
wasl ki raat to rahat se basar hone do
sham hi se hai ye dhamki ki sahar hone do
nawak-e-naz ka pahlu mein guzar hone do
kab se barbaad hai aabaad ye ghar hone do
dekhna kaisi barabar ki paDengi choTen
yar ka aaina-KHane mein guzar hone do
wasl ho qatl ho jo madd-e-nazar ho hojaye
ya idhar hone do ya mujh ko udhar hone do
jis ne ye dard diya hai wo dawa bhi dega
la-dawa hai jo mera dard-e-jigar hone do
main gharib aur gharibon ka KHuda wali hai
hone do sare zamane ko udhar hone do
tilmilane mein taDapne mein kami ki kis din
hai jo is par bhi KHafa dard-e-jigar hone do
kibr sab KHak mein mil jaega maghruron ka
ek zara gor-e-ghariban mein guzar hone do
zikr ruKHsat ka abhi se na karo baiTho bhi
jaan-e-man raat guzarne do sahar hone do
hum tasawwur mein na khinchen ye na hoga hum se
lakh nazuk hai hasinon ki kamar hone do
tu sahi mujh se siwa sabr taDap kar chiKHe
mere dil tak to zara us ka guzar hone do
wasl-e-dushman ki KHabar mujh se abhi kuchh na kaho
Thahro Thahro mujhe apni to KHabar hone do
hae wo wasl ki shab un ka ada se kahna
bandhne do mujhe juDe ko sahar hone do
jag kar kaTte hain hijr mein hum bhi raaten
rat-jage hote hain gar ghair ke ghar hone do
shauq se tum ho dar-o-baam pe sargarm-e-KHiram
donon aalam hon agar zer-o-zabar hone do
aane do aane do zulfon ko zara galon par
shahid-e-shab ko ham-aghosh-e-sahar hone do
KHwab mein aake wo bole mere armanon se
be-KHabar ko na KHabar-dar KHabar hone do
chheDte kyun ho jawani mein hasinon ko 'amir'
raat hi bhar ka ye joban hai sahar hone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.