aaina tere husn ka dil bhi hai jigar bhi
ā.īna tire husn kā dil bhī hai jigar bhī
hai ek hī sūrat ki idhar bhī hai udhar bhī
ḳhurshīd bhī us nuur kā maz.har hai qamar bhī
ai be-basro kuchh tumheñ aatā hai nazar bhī
saaqī huuñ tirī bazm meñ maiñ tishna jigar bhī
sadqe tirī āñkhoñ ke koī jaam idhar bhī
to chashm-e-suḳhan-go se mujhe pūchh de itnā
haiñ bāteñ hī bāteñ ki hai kuchh madd-e-nazar bhī
kumhlā.e chale jaate haiñ gul kis kī hai aamad
ghabrā.ī huī phirtī hai kuchh bād-e-sahar bhī
kyā paas nahīñ mere jo tum ġhair se māñgo
pahlū meñ mere dil bhī hai siine meñ jigar bhī
allāh re nā-taqatī-o-zo'f kā a.alam
maiñ kyā ki pahuñchtī nahīñ vaañ merī ḳhabar bhī
muñh mahr-e-falak kā jo idhar ko nahīñ phirtā
shāyad koī ma.ashūq tumhīñ sā hai udhar bhī
kyā jāniye kyā haal hai yārān-e-adam kā
ik umr huī hai nahīñ aa.ī hai ḳhabar bhī
vo chehra-e-pur-nūr hai ik barq-e-tajallī
kis aañkh se dekhūñ maiñ Thahartī hai nazar bhī
but-ḳhāne se dil apnā na ka.abe se phirā hai
kuchh soch ke anjām idhar bhī hai udhar bhī
ruk ruk ke jo chaltā hai gale par mere ḳhanjar
kuchh dil meñ hai qātil ke tarahhum kā asar bhī
kis kis kā gilā kījiye yā-rab ki shab-e-vasl
dushman hai muazzin kī tarah murġh-e-sahar bhī
kyā tañg hai jallād mirī saḳhtī-e-jāñ se
har vaar pe kahtā hai ki zālim kahīñ mar bhī
joban mirī āñkhoñ meñ phirā gul-badanoñ kā
gadrā.e hue baaġh meñ dekhe jo samar bhī
raftār tirī dekh ke kahte haiñ farishte
allāhu ġhanī ek hī fitna hai bashar bhī
maqsūd maza hai to 'amīr' aur kaho sher
hoñge inhīñ phūloñ inhīñ pattoñ meñ samar bhī
aaina tere husn ka dil bhi hai jigar bhi
hai ek hi surat ki idhar bhi hai udhar bhi
KHurshid bhi us nur ka mazhar hai qamar bhi
ai be-basro kuchh tumhein aata hai nazar bhi
saqi hun teri bazm mein main tishna jigar bhi
sadqe teri aankhon ke koi jam idhar bhi
to chashm-e-suKHan-go se mujhe puchh de itna
hain baaten hi baaten ki hai kuchh madd-e-nazar bhi
kumhlae chale jate hain gul kis ki hai aamad
ghabrai hui phirti hai kuchh baad-e-sahar bhi
kya pas nahin mere jo tum ghair se mango
pahlu mein mere dil bhi hai sine mein jigar bhi
allah re na-taqati-o-zo'f ka aalam
main kya ki pahunchti nahin wan meri KHabar bhi
munh mahr-e-falak ka jo idhar ko nahin phirta
shayad koi mashuq tumhin sa hai udhar bhi
kya jaaniye kya haal hai yaran-e-adam ka
ek umr hui hai nahin aai hai KHabar bhi
wo chehra-e-pur-nur hai ek barq-e-tajalli
kis aankh se dekhun main Thaharti hai nazar bhi
but-KHane se dil apna na kabe se phira hai
kuchh soch ke anjam idhar bhi hai udhar bhi
ruk ruk ke jo chalta hai gale par mere KHanjar
kuchh dil mein hai qatil ke tarahhum ka asar bhi
kis kis ka gila kijiye ya-rab ki shab-e-wasl
dushman hai muazzin ki tarah murgh-e-sahar bhi
kya tang hai jallad meri saKHti-e-jaan se
har war pe kahta hai ki zalim kahin mar bhi
joban meri aankhon mein phira gul-badanon ka
gadrae hue bagh mein dekhe jo samar bhi
raftar teri dekh ke kahte hain farishte
allahu ghani ek hi fitna hai bashar bhi
maqsud maza hai to 'amir' aur kaho sher
honge inhin phulon inhin patton mein samar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.