KHudi se be-KHudi mein aa jo shauq-e-haq-parasti hai
ḳhudī se be-ḳhudī meñ aa jo shauq-e-haq-parastī hai
jise tū nīstī samjhā hai ai ġhāfil vo hastī hai
kahīñ zaa.id kahīñ kam bāda-e-irfāñ kī mastī hai
ba-qadr-e-vus.at-e-mashrab maqām-e-mai-parastī hai
tire qurbān ai marg-e-ġharībī jald ab le chal
vatan ke dekhne ko ruuh muddat se tarastī hai
ġhazab ke josh meñ hai duḳhtar-e-raz ḳhair ho saaqī
bharī baiThī hai dekhā chāhiye kis par barastī hai
dil-e-vīrāñ ko mere dekh kar kahtī hai vīrānī
ḳhudā ābād rakhe is ko kyā dilchasp bastī hai
na shāḳh-e-gul hī ūñchī hai na dīvār-e-chaman bulbul
tirī himmat kī kotāhī tirī qismat kī pastī hai
na ghabrā ai dile-vāmāñda ab manzil qarīb aa.ī
isī bastī ke aage aur ābād ek bastī hai
na ho jo aap hī meñ us se phir pās-e-adab kaisā
takalluf bar-taraf saaqī kī vaqt-e-josh-e-mastī hai
nigāh-e-nāz ḳhāl-e-ruḳh se maidān-e-mohabbat meñ
sitam ke tiir paḌte haiñ ġhazab golī barastī hai
judā ham aur dast-e-ġhair-o-zulf-e-dilbar-o-shānā
ḳhudā kī shaan jo paspā the un ko pesh-dastī hai
ḳhudā jaane tirā jī lag gayā duniyā meñ kyuuñ ai dil
ujaaḌ ik chand ghar haiñ be-haqīqat sī ye bastī hai
qadam jis ḳhaak par paḌtā hai tere ḳhāk-sāroñ kā
agar iksīr ke moloñ vo haath aa.e to sastī hai
balā.eñ lete lete mast ho jaatī hai mashshāta
vo choTī argaje ke itr meñ jis vaqt bastī hai
raheñ kyūñkar na gird us rū-e-ātish rañg ke gesū
ibādat hinduoñ ke diin meñ ātish-parastī hai
nahīñ bachtā hai dil par daaġh terī zulf-e-pechāñ se
ye vo nāgin hai jo tā.ūs ko uḌ uḌ ke Dastī hai
'amīr' aatī hai ye āvāz nāqūs-e-barahman se
but-e-pindār ko toḌo jo shauq-e-but-parastī hai
KHudi se be-KHudi mein aa jo shauq-e-haq-parasti hai
jise tu nisti samjha hai ai ghafil wo hasti hai
kahin zaid kahin kam baada-e-irfan ki masti hai
ba-qadr-e-wusat-e-mashrab maqam-e-mai-parasti hai
tere qurban ai marg-e-gharibi jald ab le chal
watan ke dekhne ko ruh muddat se tarasti hai
ghazab ke josh mein hai duKHtar-e-raz KHair ho saqi
bhari baiThi hai dekha chahiye kis par barasti hai
dil-e-viran ko mere dekh kar kahti hai virani
KHuda aabaad rakhe is ko kya dilchasp basti hai
na shaKH-e-gul hi unchi hai na diwar-e-chaman bulbul
teri himmat ki kotahi teri qismat ki pasti hai
na ghabra ai dile-wamanda ab manzil qarib aai
isi basti ke aage aur aabaad ek basti hai
na ho jo aap hi mein us se phir pas-e-adab kaisa
takalluf bar-taraf saqi ki waqt-e-josh-e-masti hai
nigah-e-naz KHal-e-ruKH se maidan-e-mohabbat mein
sitam ke tir paDte hain ghazab goli barasti hai
juda hum aur dast-e-ghair-o-zulf-e-dilbar-o-shana
KHuda ki shan jo paspa the un ko pesh-dasti hai
KHuda jaane tera ji lag gaya duniya mein kyun ai dil
ujaD ek chand ghar hain be-haqiqat si ye basti hai
qadam jis KHak par paDta hai tere KHak-saron ka
agar iksir ke molon wo hath aae to sasti hai
balaen lete lete mast ho jati hai mashshata
wo choTi argaje ke itr mein jis waqt basti hai
rahen kyunkar na gird us ru-e-atish rang ke gesu
ibaadat hinduon ke din mein aatish-parasti hai
nahin bachta hai dil par dagh teri zulf-e-pechan se
ye wo nagin hai jo taus ko uD uD ke Dasti hai
'amir' aati hai ye aawaz naqus-e-barahman se
but-e-pindar ko toDo jo shauq-e-but-parasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.