tabe-e-din kabhi daulat pe na shaida hoga
tābe-e-dīn kabhī daulat pe na shaidā hogā
pairav-e-sher-e-ḳhudā kyā sag-e-duniyā hogā
yahī kāhish hai to kaisā tan-e-lāġhar kā patā
aaj hai mū-e-kamar kal par-e-anqā hogā
ma.arifat ke liye hai tark-e-ta.alluq lāzim
ḳhuub samjhegā vo tanhā ko jo tanhā hogā
marg ke ba.ad hai bedār diloñ ko ārām
niiñd bhar kar vahī so.egā jo jaagā hogā
TukḌe TukḌe nahīñ be-vajah mirā dil saaqī
koī shīsha kisī mai-ḳhāne meñ TuuTā hogā
ham ne andesha-e-pīrī meñ javānī kaaTī
raat bhar ḳhauf rahā sub.h ko ab kyā hogā
dil ko āġhāz-e-mohabbat meñ na samjho thoḌā
baḌhte baḌhte yahī qatra kabhī dariyā hogā
be-vafā.ī se tumhārī yahī har dam hai ḳhayāl
tum jo apne na hue kaun kisī kā hogā
ye na hogā ki jagah dost kī ḳhālī dekhūñ
dil bhar aa.egā tahī mai se jo miinā hogā
shahr ko chhoḌ ke kyuuñ dasht meñ vahshī jaa.eñ
ḳhaak uḌāte jidhar jā.eñge sahrā hogā
kyā huā laash pe merī jo vo hañstā aayā
chhup ke aġhyār se tanhā.ī meñ royā hogā
ishq-e-mizhgāñ meñ kahāñ sūrat-e-ārām 'amīr'
niiñd uḌ jā.egī bistar pe jo kāñTā hogā
tabe-e-din kabhi daulat pe na shaida hoga
pairaw-e-sher-e-KHuda kya sag-e-duniya hoga
yahi kahish hai to kaisa tan-e-laghar ka pata
aaj hai mu-e-kamar kal par-e-anqa hoga
marifat ke liye hai tark-e-talluq lazim
KHub samjhega wo tanha ko jo tanha hoga
marg ke baad hai bedar dilon ko aaram
nind bhar kar wahi soega jo jaga hoga
TukDe TukDe nahin be-wajah mera dil saqi
koi shisha kisi mai-KHane mein TuTa hoga
hum ne andesha-e-piri mein jawani kaTi
raat bhar KHauf raha subh ko ab kya hoga
dil ko aaghaz-e-mohabbat mein na samjho thoDa
baDhte baDhte yahi qatra kabhi dariya hoga
be-wafai se tumhaari yahi har dam hai KHayal
tum jo apne na hue kaun kisi ka hoga
ye na hoga ki jagah dost ki KHali dekhun
dil bhar aaega tahi mai se jo mina hoga
shahr ko chhoD ke kyun dasht mein wahshi jaen
KHak uDate jidhar jaenge sahra hoga
kya hua lash pe meri jo wo hansta aaya
chhup ke aghyar se tanhai mein roya hoga
ishq-e-mizhgan mein kahan surat-e-aram 'amir'
nind uD jaegi bistar pe jo kanTa hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.