jalwa-gar yar magar qatl-gah-e-am mein hai
jalva-gar yaar magar qatl-gah-e-ām meñ hai
jab bulātā huuñ maiñ suntā huuñ qazā kaam meñ hai
nashsha-e-aish mujhe gardish-e-ayyām meñ hai
mai-e-be-dard agar hai to mere jaam meñ hai
daur jaarī hai har vaqt mai-e-gulgūñ kā
paḌh le saaqī yahī tahrīr ḳhat-e-jām meñ hai
daf.atan rañg badal detī hai ye a.alam kā
chaal ai mahr tirī gardish-e-ayyām meñ hai
na huā nāla-e-mazlūm se zālim bedār
phuñk chukā suur ye murda abhī ārām meñ hai
ism-e-āzam ye sulaimāñ ko tafāḳhur hai abas
sau tarah kā asar allāh ke har naam meñ hai
dil se mere ki zabāñ se tirī pūchhe koī
ġhair kyā jaane maza kyā tire dushnām meñ hai
aañkh ḳhālī na dikhā lutf bhī kar ai saaqī
jaam hī jaam hai yā mai bhī kahīñ jaam meñ hai
jis taraf dekhiye khole hue āġhosh hai huur
sarfaroshī kā maza lashkar-e-islām meñ hai
ulfat-e-zulf meñ hai tā.ir-e-dil ashk-fishāñ
āb-o-dānā mirī qismat kā usī daam meñ hai
surma ai yaar lagāyā ki jagāyā jaadū
kyā balā sahar tirī chashm-e-siyah-fām meñ hai
paḌ gayā garmī-e-furqat se phapholā dil meñ
jā-e-mai-dāna añgūr mere jaam meñ hai
lab pe tū ne jo masī mal-ke jamāyā lākhā
khul gayā shāh-e-badaḳhshāñ kā amal shaam meñ hai
yaad gesū se kahāñ josh-e-junūñ meñ ārām
maiñ huuñ āzād to kyā ruuh mirī daam meñ hai
Daal de mujh se balā nosh ko ḳham ke muñh meñ
ye to ik ghūñT hai saaqī jo tire jaam meñ hai
murġh-e-dil ḳhaak phañse zulf par afshāñ chiḌko
daam hī daam hai daana bhī kahīñ daam meñ hai
aa gayā roz-e-qiyāmat na phire mere nasīb
jaag uThe murde ye ġhāfil abhī ārām meñ hai
hai laḌakpan meñ bajā ḳhaak se insān ko uns
aaqil āġhāz se andesha-e-anjām meñ hai
naam kā naam taḳhallus kā taḳhallus hai 'amīr'
ye baḌā husn-e-ḳhudā-dād mire naam meñ hai
jalwa-gar yar magar qatl-gah-e-am mein hai
jab bulata hun main sunta hun qaza kaam mein hai
nashsha-e-aish mujhe gardish-e-ayyam mein hai
mai-e-be-dard agar hai to mere jam mein hai
daur jari hai har waqt mai-e-gulgun ka
paDh le saqi yahi tahrir KHat-e-jam mein hai
dafatan rang badal deti hai ye aalam ka
chaal ai mahr teri gardish-e-ayyam mein hai
na hua nala-e-mazlum se zalim bedar
phunk chuka sur ye murda abhi aaram mein hai
ism-e-azam ye sulaiman ko tafaKHur hai abas
sau tarah ka asar allah ke har nam mein hai
dil se mere ki zaban se teri puchhe koi
ghair kya jaane maza kya tere dushnam mein hai
aankh KHali na dikha lutf bhi kar ai saqi
jam hi jam hai ya mai bhi kahin jam mein hai
jis taraf dekhiye khole hue aaghosh hai hur
sarfaroshi ka maza lashkar-e-islam mein hai
ulfat-e-zulf mein hai tair-e-dil ashk-fishan
aab-o-dana meri qismat ka usi dam mein hai
surma ai yar lagaya ki jagaya jadu
kya bala sahar teri chashm-e-siyah-fam mein hai
paD gaya garmi-e-furqat se phaphola dil mein
ja-e-mai-dana angur mere jam mein hai
lab pe tu ne jo masi mal-ke jamaya lakha
khul gaya shah-e-badaKHshan ka amal sham mein hai
yaad gesu se kahan josh-e-junun mein aaram
main hun aazad to kya ruh meri dam mein hai
Dal de mujh se bala nosh ko KHam ke munh mein
ye to ek ghunT hai saqi jo tere jam mein hai
murgh-e-dil KHak phanse zulf par afshan chiDko
dam hi dam hai dana bhi kahin dam mein hai
aa gaya roz-e-qiyamat na phire mere nasib
jag uThe murde ye ghafil abhi aaram mein hai
hai laDakpan mein baja KHak se insan ko uns
aaqil aaghaz se andesha-e-anjam mein hai
nam ka nam taKHallus ka taKHallus hai 'amir'
ye baDa husn-e-KHuda-dad mere nam mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.