hashr mein jis ne kaha banda KHata-karon mein hai
hashr meñ jis ne kahā banda ḳhatā-kāroñ meñ hai
rahmat us kī bolī chal tū kin gunahgāroñ meñ hai
maġhfirat kā tū jo tālib hai to zāhid aa idhar
pyaar kartī hai vo mai-ḳhvāroñ ko mai-ḳhvāroñ meñ hai
maiñ huuñ aajiz aur us ko ājizī mahbūb hai
be-niyāzī us kī mere nāz-bardāroñ meñ hai
DhūñDhnā hai us ko ai zāhid to apne dil meñ DhūñD
chhat meñ ka.abe kī na vo ka.abe kī dīvāroñ meñ hai
shoḳh vo ham muztarib vo nāznīñ ham nā-tavāñ
miltī jultī yaar se hai baat jo yāroñ meñ hai
hashr ke din dekh kar āġhosh-e-rahmat meñ mujhe
pūchhtī hai ḳhalq tū kis ke gunahgāroñ meñ hai
kyā numūd-e-āftāb-e-hashr dāġhoñ ke huzūr
vo bhī ik chhoTā sā añgārā un añgāra meñ hai
us ko ai saaqī uThā de kaam kyā us kā yahāñ
ye takalluf bhī hai kyā mai-kash jo mai-ḳhvāroñ meñ hai
husn-o-ismat donoñ yakjā hoñ ye mumkin hī nahīñ
ghar meñ vo parda-nashīñ hai shor bāzāroñ meñ hai
poñchhtī hai mere aañsū marg-e-dushman kī ḳhushī
huuñ maiñ vo nāshād shādī mere ġham-ḳhvāroñ meñ hai
abr jab ghir ghir ke aatā hai pilātā hai sharāb
ke us kī aaj saaqī ban ke mai-ḳhvāroñ meñ hai
lene aa.ī hai ajal kis ko adam ko jaa.e kaun
itnī tāqat ab kahāñ furqat ke bīmāroñ meñ hai
sūrat-e-ā.īna har sūrat se hai vo āshnā
yaar agar yāroñ meñ hai ayyār ayāroñ meñ hai
ghar vahī hai hijr ke din bhī jo roz-e-vasl thā
dil meñ vahshat hai daroñ meñ hai na dīvāroñ meñ hai
hai sadā hātim kī dar par mere aaqā ke 'amīr'
ye ḳhudā rakhe ajab darbār darbāroñ meñ hai
hashr mein jis ne kaha banda KHata-karon mein hai
rahmat us ki boli chal tu kin gunahgaron mein hai
maghfirat ka tu jo talib hai to zahid aa idhar
pyar karti hai wo mai-KHwaron ko mai-KHwaron mein hai
main hun aajiz aur us ko aajizi mahbub hai
be-niyazi us ki mere naz-bardaron mein hai
DhunDhna hai us ko ai zahid to apne dil mein DhunD
chhat mein kabe ki na wo kabe ki diwaron mein hai
shoKH wo hum muztarib wo naznin hum na-tawan
milti julti yar se hai baat jo yaron mein hai
hashr ke din dekh kar aaghosh-e-rahmat mein mujhe
puchhti hai KHalq tu kis ke gunahgaron mein hai
kya numud-e-aftab-e-hashr daghon ke huzur
wo bhi ek chhoTa sa angara un angara mein hai
us ko ai saqi uTha de kaam kya us ka yahan
ye takalluf bhi hai kya mai-kash jo mai-KHwaron mein hai
husn-o-ismat donon yakja hon ye mumkin hi nahin
ghar mein wo parda-nashin hai shor bazaron mein hai
ponchhti hai mere aansu marg-e-dushman ki KHushi
hun main wo nashad shadi mere gham-KHwaron mein hai
abr jab ghir ghir ke aata hai pilata hai sharab
ke us ki aaj saqi ban ke mai-KHwaron mein hai
lene aai hai ajal kis ko adam ko jae kaun
itni taqat ab kahan furqat ke bimaron mein hai
surat-e-aina har surat se hai wo aashna
yar agar yaron mein hai ayyar ayaron mein hai
ghar wahi hai hijr ke din bhi jo roz-e-wasl tha
dil mein wahshat hai daron mein hai na diwaron mein hai
hai sada hatim ki dar par mere aaqa ke 'amir'
ye KHuda rakhe ajab darbar darbaron mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.