pahle nigah phir meri dushman haya hui
pahle nigāh phir mirī dushman hayā huī
vo ek thī ye dūsrī ai dilrubā huī
laTkā.e kyuuñ ga.e haiñ ye kaisī sazā huī
gesū to ḳhud balā the unheñ kyā balā huī
maujūd aa ke vasl meñ bhī lo hayā huī
ik jaan kā azaab huī sharm kyā huī
gaalī bhī pyāre muñh se tire ḳhush-numā huī
be-jā bhī baat tuune kahī to bajā huī
hai baḳhshne na baḳhshne meñ us ko iḳhtiyār
tū hai gunāhgār kahe jā ḳhatā huī
baiThe hue kaleje meñ lete ho chuTkiyāñ
ai jaan dil lagāne kī achchhī sazā huī
kahtā hai un se ā.īna sub.h-e-shab-e-visāl
hai hai ye rāt-bhar meñ tirī shakl kyā huī
ġhamze se apne bole vo kushtoñ ko dekh kar
lo jī mirī galī na huī karbalā huī
rahm aa gayā karīm ko muhtāj dekh kar
hājat hī us ġharīb kī hājat-ravā huī
ab aañkh kyā milā.egī mastoñ se duḳht-e-raz
qaazī ke ghar meñ paḌ ke baḌī pārsā huī
kyā kyā libās shān-e-karam ke haiñ dekhnā
ḳhāk-e-shifā huī kahīñ āb-e-baqā huī
ik 'umr ho ga.ī shab-e-furqat ko mere ghar
ab bhī jo ibtidā hai to bas intihā huī
dekhā nigāh-e-garm se aaj us ne ġhair ko
maqbūl kis jale hue dil kī duā huī
hai vasl meñ to hijr se bhī baḌh ke iztirāb
taḌpāne meñ to dard se duunī davā huī
ma.ashūq sabza-rañg thī jab tak thī sabz-posh
qātil libās-e-surḳh pahan kar hinā huī
shikvā kiyā jafā kā to bole ki nā-sipās
merī jafā hī se to numūd-e-vafā huī
jī ḳhvāb rañg hosh yakāyak sab uḌ ga.e
roz-e-firāq tez kuchh aisī havā huī
āñkhoñ ke aage aake khaḌī ho ga.ī vo shakl
dam-bhar jahāñ palak se palak āshnā huī
hai chiiz ek adā-o-qazā is qadar hai farq
sīdhī nazar adā huī tirchhī qazā huī
ā.īna āshiqoñ se sivā hai sitam nasīb
pahle isī ġharīb pe mashq-e-adā huī
maqtal ko vo chale to haTāne ko bhiiḌ bhaaḌ
teġh-e-nigāh khīñch ke aa.e adā huī
ā.īne ne javāb diyā baat baat kā
lo aaj to khulī khulī ai dilrubā huī
ghabrā rahe ho hashr meñ kyuuñ is qadar 'amīr'
itnī hī sī to baat hai kah do ḳhatā huī
pahle nigah phir meri dushman haya hui
wo ek thi ye dusri ai dilruba hui
laTkae kyun gae hain ye kaisi saza hui
gesu to KHud bala the unhen kya bala hui
maujud aa ke wasl mein bhi lo haya hui
ek jaan ka azab hui sharm kya hui
gali bhi pyare munh se tere KHush-numa hui
be-ja bhi baat tune kahi to baja hui
hai baKHshne na baKHshne mein us ko iKHtiyar
tu hai gunahgar kahe ja KHata hui
baiThe hue kaleje mein lete ho chuTkiyan
ai jaan dil lagane ki achchhi saza hui
kahta hai un se aaina subh-e-shab-e-visal
hai hai ye raat-bhar mein teri shakl kya hui
ghamze se apne bole wo kushton ko dekh kar
lo ji meri gali na hui karbala hui
rahm aa gaya karim ko muhtaj dekh kar
hajat hi us gharib ki hajat-rawa hui
ab aankh kya milaegi maston se duKHt-e-raz
qazi ke ghar mein paD ke baDi parsa hui
kya kya libas shan-e-karam ke hain dekhna
KHak-e-shifa hui kahin aab-e-baqa hui
ek 'umr ho gai shab-e-furqat ko mere ghar
ab bhi jo ibtida hai to bas intiha hui
dekha nigah-e-garm se aaj us ne ghair ko
maqbul kis jale hue dil ki dua hui
hai wasl mein to hijr se bhi baDh ke iztirab
taDpane mein to dard se duni dawa hui
mashuq sabza-rang thi jab tak thi sabz-posh
qatil libas-e-surKH pahan kar hina hui
shikwa kiya jafa ka to bole ki na-sipas
meri jafa hi se to numud-e-wafa hui
ji KHwab rang hosh yakayak sab uD gae
roz-e-firaq tez kuchh aisi hawa hui
aankhon ke aage aake khaDi ho gai wo shakl
dam-bhar jahan palak se palak aashna hui
hai chiz ek ada-o-qaza is qadar hai farq
sidhi nazar ada hui tirchhi qaza hui
aaina aashiqon se siwa hai sitam nasib
pahle isi gharib pe mashq-e-ada hui
maqtal ko wo chale to haTane ko bhiD bhaD
tegh-e-nigah khinch ke aae ada hui
aaine ne jawab diya baat baat ka
lo aaj to khuli khuli ai dilruba hui
ghabra rahe ho hashr mein kyun is qadar 'amir'
itni hi si to baat hai kah do KHata hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.