har kali kahti hai khul kar tere diwane se
har kalī kahtī hai khul kar tire dīvāne se
dekh niklī hai parī saj ke parī-ḳhāne se
sāqiyā jaate haiñ pyāse tire mai-ḳhāne se
ghoñT do ghoñT chhalakte hue paimāne se
but bane baiThe haiñ but jī mirā ghabrātā hai
uTh ke ka.abe ko chalā jā.ūñgā but-ḳhāne se
hasrateñ dekhīñ mere dil meñ to bole shab-e-vasl
lipTī haiñ kyuuñ ye balā.eñ mere dīvāne se
lā-makāñ ke jo kitāboñ meñ likhe haiñ ausāf
milte julte haiñ vo kuchh kuchh mere vīrāne se
dil mirā toḌ diyā aaj mere saaqī ne
mai pilā.ī bhī to TuuTe hue paimāne se
rahm un par to kar uThne de kabhī to un ko
haiñ ġhazab meñ tirī āñkheñ tire sharmāne se
shaiḳh jī rahtī haiñ kyuuñ surḳh tumhārī āñkheñ
shab ko kyā laal parī aatī hai mai-ḳhāne se
raqs karne lagā dam bhar meñ chhalak kar saaqī
kah diyā jhuk ke ye kyā shīshe ne paimāne se
maiñ ne zulfoñ kī sanā kī to kahā chup bhī raho
dam ulajhtā hai is uljhe hue afsāne se
dil churāyā hai to āñkheñ na churāo dekho
chorī khulne kā hai Dar chor ke ghabrāne se
shaiḳh jī aa.e the rindoñ meñ kaisī thī kasīf
kyā nahā-dho ke nikal aa.e haiñ mai-ḳhāne se
kal nazar aa.e the jaate hue masjid ko 'amīr'
aaj dekhā to chale aate haiñ maiḳhāne se
har kali kahti hai khul kar tere diwane se
dekh nikli hai pari saj ke pari-KHane se
saqiya jate hain pyase tere mai-KHane se
ghonT do ghonT chhalakte hue paimane se
but bane baiThe hain but ji mera ghabraata hai
uTh ke kabe ko chala jaunga but-KHane se
hasraten dekhin mere dil mein to bole shab-e-wasl
lipTi hain kyun ye balaen mere diwane se
la-makan ke jo kitabon mein likhe hain ausaf
milte julte hain wo kuchh kuchh mere virane se
dil mera toD diya aaj mere saqi ne
mai pilai bhi to TuTe hue paimane se
rahm un par to kar uThne de kabhi to un ko
hain ghazab mein teri aankhen tere sharmane se
shaiKH ji rahti hain kyun surKH tumhaari aankhen
shab ko kya lal pari aati hai mai-KHane se
raqs karne laga dam bhar mein chhalak kar saqi
kah diya jhuk ke ye kya shishe ne paimane se
main ne zulfon ki sana ki to kaha chup bhi raho
dam ulajhta hai is uljhe hue afsane se
dil churaya hai to aankhen na churao dekho
chori khulne ka hai Dar chor ke ghabrane se
shaiKH ji aae the rindon mein kaisi thi kasif
kya naha-dho ke nikal aae hain mai-KHane se
kal nazar aae the jate hue masjid ko 'amir'
aaj dekha to chale aate hain maiKHane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.