chamkae hain kya dagh-e-jigar aah-e-rasa ne
chamkā.e haiñ kyā dāġh-e-jigar āh-e-rasā ne
in phūloñ meñ aur aag lagā dī hai sabā ne
jaa.e tapish-e-dil mirī kis kis ko bulāne
muñh terī tarah mujh se chhupāyā hai qazā ne
parda ruḳh-e-mahbūb se ulTā hai havā ne
ye phuul khilāyā hai nayā bād-e-sabā ne
yaañ haath uThāyā hai duā ke liye maiñ ne
tāsīr se vaañ haath uThāyā hai duā ne
bulbul jo huī zab.h to ġhunche ye pukāre
chhoḌā hai shagūfa ye nayā bād-e-sabā ne
lo vasl meñ betābī-e-dil ho ga.ī duunī
kī aur kumak dard-e-mohabbat kī davā ne
kis kis ke chale jaur shab vasl meñ mujh par
chakme diye shoḳhī ne to kī chaal hayā ne
bismil hī mujhe chhoḌ gayā ḳhanjar-e-qātil
afsos vafā mujh se na kī us kī jafā ne
barmā ke mere dil ko jigar tak utar aa.iiñ
kyā kaam liyā nīchī nigāhoñ se hayā ne
lau afv-e-ma.āsī kī lagā.e raheñ aasī
ke ko bahut aate haiñ baḳhshish ke bahāne
kaam aa ga.ī shoḳhī ki naqāb us ne ulaT dī
shab ko to mujhe maar hī Daalā thā hayā ne
barsāt meñ bhī ye na ubharnā thā na ubhrī
chhīñTe diye kyā kyā mirī tauba ko ghaTā ne
us dast-e-hinā.ī pe gale kaT ga.e kitne
piise haiñ hazāroñ hī ke dil pis ke hinā ne
ghabrā.ī huī teġh ba-kaf phirtī hai har samt
kyā jaane diyā barq ko kyā hukm ghaTā ne
aa.ī hai dam-e-naz.a mere ghar shab-e-furqat
gherā hai bure vaqt meñ is kaalī balā ne
ik aan meñ jab bhar diye jal thal to maiñ samjhā
vāqif tirī ke se kiyā sab ko ghaTā ne
us dast-e-nigārīñ ko kiyā hai jo bhabhūkā
dil meñ mere ik aag lagā dī hai hinā ne
tauba kaaro tauba kahīñ mai-ḳhāne se haTtī
koḌe use bijlī ke lagā.e haiñ ghaTā ne
kambaḳht mere ghar se nikaltī hī nahīñ hai
māman mere maskan ko banāyā hai balā ne
us gul ke jo hāthoñ ko banānā thā bhabhūkā
laale kā lahū chuus liyā barg-e-hinā ne
allāh re merī shab-e-hijrāñ kī syāhī
sau baar pukārā mujhe ghabrā ke balā ne
shikva jo kiyā sañg-dilī kā to vo bole
but ham ko banāyā hai tumhāre hī ḳhudā ne
har gaam ye laġhzish thī rah-e-ishq meñ lekin
phisle to sambhālā hameñ taslīm-o-razā ne
gherā to bahut zulf-e-butāñ ne mujhe lekin
ab tak to is aafat se bachāyā hai ḳhudā ne
dil pis ke 'amīr' un ke qadam tak bhī na pahuñchā
aur bose liye hāthoñ ke bhī pis ke hinā ne
chamkae hain kya dagh-e-jigar aah-e-rasa ne
in phulon mein aur aag laga di hai saba ne
jae tapish-e-dil meri kis kis ko bulane
munh teri tarah mujh se chhupaya hai qaza ne
parda ruKH-e-mahbub se ulTa hai hawa ne
ye phul khilaya hai naya baad-e-saba ne
yan hath uThaya hai dua ke liye main ne
tasir se wan hath uThaya hai dua ne
bulbul jo hui zabh to ghunche ye pukare
chhoDa hai shagufa ye naya baad-e-saba ne
lo wasl mein betabi-e-dil ho gai duni
ki aur kumak dard-e-mohabbat ki dawa ne
kis kis ke chale jaur shab wasl mein mujh par
chakme diye shoKHi ne to ki chaal haya ne
bismil hi mujhe chhoD gaya KHanjar-e-qatil
afsos wafa mujh se na ki us ki jafa ne
barma ke mere dil ko jigar tak utar aain
kya kaam liya nichi nigahon se haya ne
lau afw-e-maasi ki lagae rahen aasi
ke ko bahut aate hain baKHshish ke bahane
kaam aa gai shoKHi ki naqab us ne ulaT di
shab ko to mujhe mar hi Dala tha haya ne
barsat mein bhi ye na ubharna tha na ubhri
chhinTe diye kya kya meri tauba ko ghaTa ne
us dast-e-hinai pe gale kaT gae kitne
pise hain hazaron hi ke dil pis ke hina ne
ghabrai hui tegh ba-kaf phirti hai har samt
kya jaane diya barq ko kya hukm ghaTa ne
aai hai dam-e-naza mere ghar shab-e-furqat
ghera hai bure waqt mein is kali bala ne
ek aan mein jab bhar diye jal thal to main samjha
waqif teri ke se kiya sab ko ghaTa ne
us dast-e-nigarin ko kiya hai jo bhabhuka
dil mein mere ek aag laga di hai hina ne
tauba karo tauba kahin mai-KHane se haTti
koDe use bijli ke lagae hain ghaTa ne
kambaKHt mere ghar se nikalti hi nahin hai
maman mere maskan ko banaya hai bala ne
us gul ke jo hathon ko banana tha bhabhuka
lale ka lahu chus liya barg-e-hina ne
allah re meri shab-e-hijran ki syahi
sau bar pukara mujhe ghabra ke bala ne
shikwa jo kiya sang-dili ka to wo bole
but hum ko banaya hai tumhaare hi KHuda ne
har gam ye laghzish thi rah-e-ishq mein lekin
phisle to sambhaala hamein taslim-o-raza ne
ghera to bahut zulf-e-butan ne mujhe lekin
ab tak to is aafat se bachaya hai KHuda ne
dil pis ke 'amir' un ke qadam tak bhi na pahuncha
aur bose liye hathon ke bhi pis ke hina ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.