ek poshida kamar yar ne kya rakhi hai
ek poshīda kamar yaar ne kyā rakhī hai
aañkh bhī shakl-e-dahan ham se churā rakhī hai
khīñch shamshīr adā miyān meñ kyā rakhī hai
ye bhī kyā ghaat hai qātil jo chhipā rakhī hai
baiTh ke masjid meñ na kar ai vaa.iz
aisī shai hai ke qiyāmat pe uThā rakhī hai
ik zarā vahshat dil baḌh ke ḳhabar to lenā
ḳhaak kiyā najd meñ majnūñ ne uḌā rakhī hai
ik surāhī tirī ḳhātir bhī lagā rakhī hai
nigah naaz se bhī dekh jo karatā hai halāl
ye adā kis ke liye to ne uThā rakhī hai
sāmne karke nigah mujh se ye qātil ne kahā
ke tire dam ko ye talvār lagā rakhī hai
na dikhāte haiñ kamar ko na dahan ko ye but
achchhī jo chiiz hai vo aap uḌā rakhī hai
hashr ke din na shikāyat meñ kamī kar e dil
ab ye kis din ke liye to ne uThā rakhī hai
meñ ye samjhā koī qātil ne davā rakhī hai
ġhair ke saath vafā karke vo ham se bole
ye vahī baat hai jo tum ne batā rakhī hai
jā ke le aa.e use phir na meñ jhagḌoñ na laḌūñ
muḳhtasar baat hai naasā ne baḌhā rakhī hai
naza.a meñ aao to phir us ko tasadduq kar deñ
jaan ik seh ham ne bachā rakhī hai
yaar muḳhtār hai jo chāhe kare ham se amiir
ek poshida kamar yar ne kya rakhi hai
aankh bhi shakl-e-dahan hum se chura rakhi hai
khinch shamshir ada miyan mein kya rakhi hai
ye bhi kya ghat hai qatil jo chhipa rakhi hai
baiTh ke masjid mein na kar ai waiz
aisi shai hai ke qiyamat pe uTha rakhi hai
ek zara wahshat dil baDh ke KHabar to lena
KHak kiya najd mein majnun ne uDa rakhi hai
ek surahi teri KHatir bhi laga rakhi hai
nigah naz se bhi dekh jo karata hai halal
ye ada kis ke liye to ne uTha rakhi hai
samne karke nigah mujh se ye qatil ne kaha
ke tere dam ko ye talwar laga rakhi hai
na dikhate hain kamar ko na dahan ko ye but
achchhi jo chiz hai wo aap uDa rakhi hai
hashr ke din na shikayat mein kami kar e dil
ab ye kis din ke liye to ne uTha rakhi hai
mein ye samjha koi qatil ne dawa rakhi hai
ghair ke sath wafa karke wo hum se bole
ye wahi baat hai jo tum ne bata rakhi hai
ja ke le aae use phir na mein jhagDon na laDun
muKHtasar baat hai nasa ne baDha rakhi hai
naza mein aao to phir us ko tasadduq kar den
jaan ek seh hum ne bacha rakhi hai
yar muKHtar hai jo chahe kare hum se amir
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.