kah rahi hai hashr mein wo aankh sharmai hui
kah rahī hai hashr meñ vo aañkh sharmā.ī huī
haa.e kaisī is bharī mahfil meñ rusvā.ī huī
Thokareñ khilvā.egī ye chaal iThlā.ī huī
kyā javānī phirtī hai joban pe itrā.ī huī
ā.īna meñ har adā ko dekh kar kahte haiñ vo
aaj dekhā chāhiye kis kis kī hai aa.ī huī
jāñbalab hasrat meñ paatī hai jo mujh nāshād ko
kyā hañsī phirtī hai un hoñToñ pe itrā.ī huī
khul gayā joban to 'ismat ne hayā se yuuñ kahā
ek añgḌā.ī meñ ham donoñ kī rusvā.ī huī
kaif-e-mastī meñ bhī rahtā hai ye joban kā lihāz
un ko añgḌā.ī bhī aatī hai to sharmā.ī huī
aañkh uThe par vo haTe ye bhī hai koī dekhnā
aaḌ meñ ghūñghaT ke aañkh aur vo bhī sharmā.ī huī
she'r gul-daste meñ mujh afsurda-dil ke kyā 'amīr'
dāman-e-gulchīñ meñ kuchh kaliyāñ haiñ murjhā.ī huī
kah rahi hai hashr mein wo aankh sharmai hui
hae kaisi is bhari mahfil mein ruswai hui
Thokaren khilwaegi ye chaal iThlai hui
kya jawani phirti hai joban pe itrai hui
aaina mein har ada ko dekh kar kahte hain wo
aaj dekha chahiye kis kis ki hai aai hui
jaanbalab hasrat mein pati hai jo mujh nashad ko
kya hansi phirti hai un honTon pe itrai hui
khul gaya joban to 'ismat ne haya se yun kaha
ek angDai mein hum donon ki ruswai hui
kaif-e-masti mein bhi rahta hai ye joban ka lihaz
un ko angDai bhi aati hai to sharmai hui
aankh uThe par wo haTe ye bhi hai koi dekhna
aaD mein ghunghaT ke aankh aur wo bhi sharmai hui
she'r gul-daste mein mujh afsurda-dil ke kya 'amir'
daman-e-gulchin mein kuchh kaliyan hain murjhai hui
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.