Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

rahe wo jaan-e-jahan ye jahan rahe na rahe

Ameer Minai

rahe wo jaan-e-jahan ye jahan rahe na rahe

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    rahe vo jān-e-jahāñ ye jahāñ rahe na rahe

    makīñ ḳhair ho yārab makāñ rahe na rahe

    ḳhudā ke vāste kalima butoñ paḌh zāhid

    phir iḳhtiyār meñ ġhāfil zabāñ rahe na rahe

    ḳhizāñ to ḳhair se guzrī chaman meñ bulbul ko

    bahār aa.ī hai ab āshiyāñ rahe na rahe

    chalā huuñ kūcha-e-qātil ko sar ke bal dekhūñ

    ye haal dam dam-e-imtihāñ rahe na rahe

    taḌap rahī jo yahī dil ke ba.ad marne ke

    zamīn-e-gor-tah-e-āsmāñ rahe na rahe

    shab-e-visāl ġhanīmat hai phir ḳhudā jaane

    ki sub.h ko vo qamar mehrbāñ rahe na rahe

    'amīr' jam.a haiñ ahbāb dard-e-dil kah lo

    phir iltifāt dil-e-dostāñ re na rahe

    rahe wo jaan-e-jahan ye jahan rahe na rahe

    makin ki KHair ho yarab makan rahe na rahe

    KHuda ke waste kalima buton ka paDh zahid

    phir iKHtiyar mein ghafil zaban rahe na rahe

    KHizan to KHair se guzri chaman mein bulbul ko

    bahaar aai hai ab aashiyan rahe na rahe

    chala hun kucha-e-qatil ko sar ke bal dekhun

    ye haal dam ka dam-e-imtihan rahe na rahe

    taDap rahi jo yahi dil ke baad marne ke

    zamin-e-gor-tah-e-asman rahe na rahe

    shab-e-visal ghanimat hai phir KHuda jaane

    ki subh ko wo qamar mehrban rahe na rahe

    'amir' jama hain ahbab dard-e-dil kah lo

    phir iltifat dil-e-dostan re na rahe

    Source :
    • Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 18)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now