fana kaisi baqa kaisi jab uske aashna Thahre
fanā kaisī baqā kaisī jab us ke āshnā Thahre
kabhī is ghar meñ aa Thahre kabhī us ghar meñ jā Thahre
mohammad mustafā ko hazrat-e-yūsuf se kyā nisbat
vo matlūb-e-zuleḳhā the ye mahbūb-e-ḳhudā Thahre
fanā fillāh jab ham ho ga.e to bas ham hī ham the
kabhī bande bane apne kabhī apne ḳhudā Thahre
haqīqat khol dī ā.īna-e-vahdat meñ donoñ kī
na tum ham se judā Thahre na ham tum se judā Thahre
vahāñ ik be-niyāzī aur yahāñ lākhoñ tamannā.eñ
vo lā-parvā sarāsar ham sarāpā mudda.ā Thahre
safeñ ārāsta hone lagīñ jab ahl-e-mahshar kī
jamā kar ek TukḌā hasratoñ kā ham judā Thahre
'amīr' aayā jo vaqt-e-imtihāñ to raah lī sab ne
hazāroñ saikḌoñ haiñ ranj-o-ġham do āshnā Thahre
fana kaisi baqa kaisi jab us ke aashna Thahre
kabhi is ghar mein aa Thahre kabhi us ghar mein ja Thahre
mohammad mustafa ko hazrat-e-yusuf se kya nisbat
wo matlub-e-zuleKHa the ye mahbub-e-KHuda Thahre
fana fillah jab hum ho gae to bas hum hi hum the
kabhi bande bane apne kabhi apne KHuda Thahre
haqiqat khol di aaina-e-wahdat mein donon ki
na tum hum se juda Thahre na hum tum se juda Thahre
wahan ek be-niyazi aur yahan lakhon tamannaen
wo la-parwa sarasar hum sarapa muddaa Thahre
safen aarasta hone lagin jab ahl-e-mahshar ki
jama kar ek TukDa hasraton ka hum juda Thahre
'amir' aaya jo waqt-e-imtihan to rah li sab ne
hazaron saikDon hain ranj-o-gham do aashna Thahre
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.