tu jahan ban-Than ke nikla KHalq diwani hui
tū jahāñ ban-Than ke niklā ḳhalq dīvānī huī
jama-raibī se tire kis-kis kī 'uryānī huī
allāh-allāh kis qadar hai āshnā-e-husn-o-’ishq
baal udhar bikhre idhar dil ko pareshānī huī
mujh se tujh se ho chukī hai guftugū roz-e-azal
chhupne vaalī hai kahāñ āvāz pahchānī huī
hazrat-e-yūsuf ne achchhā gul khilāyā misr meñ
chāk-dāmānī se paidā pāk-dāmānī huī
jab huī vahshat tire kūcha hī meñ tan kar chale
ḳhaak bhī sar par vahī Daalī jo thī chhānī huī
mujh ko DevḌhī par biThā kar aap ghar meñ so rahe
'āshiqī kaahe ko Thahrī ye to darbānī huī
'āsiyoñ ko dekh kar āġhosh-e-rahmat meñ 'amīr'
be-gunāhoñ ko qiyāmat meñ pashemānī huī
tu jahan ban-Than ke nikla KHalq diwani hui
jama-raibi se tere kis-kis ki 'uryani hui
allah-allah kis qadar hai aashna-e-husn-o-’ishq
baal udhar bikhre idhar dil ko pareshani hui
mujh se tujh se ho chuki hai guftugu roz-e-azal
chhupne wali hai kahan aawaz pahchani hui
hazrat-e-yusuf ne achchha gul khilaya misr mein
chaak-damani se paida pak-damani hui
jab hui wahshat tere kucha hi mein tan kar chale
KHak bhi sar par wahi Dali jo thi chhani hui
mujh ko DewDhi par biTha kar aap ghar mein so rahe
'ashiqi kahe ko Thahri ye to darbani hui
'asiyon ko dekh kar aaghosh-e-rahmat mein 'amir'
be-gunahon ko qiyamat mein pashemani hui
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.