na shikwa be-wafai ka na rona kaj-adai ka
na shikva be-vafā.ī kā na ronā kaj-adā.ī kā
sazā hai dil lagāne kī mazā hai āshnā.ī kā
taraqqī par kisī kī shoḳhiyāñ haiñ ḳhair ho yā-rab
hayā kī jaan kā dushman hai lapkā ḳhud-numā.ī kā
ye kis be-dard ne dast-e-nigārīñ ḳhvāb meñ chūmā
ki fariyādī hai ab tak nail us nāzuk kalā.ī kā
tumhīñ tum ā.īna-e-fānī meñ ho chāroñ taraf dekho
kaho jī ab bhī kuchh armāñ niklā ḳhud-numā.ī kā
’urūs-e-marg aa.ī mujh se ham-āġhosh hone ko
huā mashshātgī pesha mirī shām-e-judā.ī kā
'amīr' is kHirqa-o-’amāma ko tum rehn hī kar do
abhī phaptā nahīñ hai tum ko jaama pārsā.ī kā
na shikwa be-wafai ka na rona kaj-adai ka
saza hai dil lagane ki maza hai aashnai ka
taraqqi par kisi ki shoKHiyan hain KHair ho ya-rab
haya ki jaan ka dushman hai lapka KHud-numai ka
ye kis be-dard ne dast-e-nigarin KHwab mein chuma
ki fariyaadi hai ab tak nail us nazuk kalai ka
tumhin tum aaina-e-fani mein ho chaaron taraf dekho
kaho ji ab bhi kuchh arman nikla KHud-numai ka
’urus-e-marg aai mujh se ham-aghosh hone ko
hua mashshatgi pesha meri sham-e-judai ka
'amir' is kHirqa-o-’amama ko tum rehn hi kar do
abhi phapta nahin hai tum ko jama parsai ka
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 8)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.