chehre wo lae hain aashiq ke murgh-e-jaan ke liye
chehre vo laa.e haiñ 'āshiq ke murġh-e-jāñ ke liye
ġhazab kī shāḳh nikālī hai āshiyāñ ke liye
añdherī raat meñ bijlī ko bhī taras aayā
ġharīb ban ke charāġh aa.ī āshiyāñ ke liye
ġhazab kī laag thī kambaḳht barq ko mujh se
chaman ko phūñk diyā ek āshiyāñ ke liye
hazār shukr ki paikāñ se dil huā ābād
ḳhudā ne bhej diyā vāris us makāñ ke liye
maiñ imtihān meñ puurā huā to phir kahiye
zarā samajh ke taqāza huā imtihāñ ke liye
hai ab 'amīr' ko kyuuñ zabt-e-āh kī tākīd
huzūr hī ne to dī hai zabāñ fuġhāñ ke liye
chehre wo lae hain 'ashiq ke murgh-e-jaan ke liye
ghazab ki shaKH nikali hai aashiyan ke liye
andheri raat mein bijli ko bhi taras aaya
gharib ban ke charagh aai aashiyan ke liye
ghazab ki lag thi kambaKHt barq ko mujh se
chaman ko phunk diya ek aashiyan ke liye
hazar shukr ki paikan se dil hua aabaad
KHuda ne bhej diya waris us makan ke liye
main imtihan mein pura hua to phir kahiye
zara samajh ke taqaza hua imtihan ke liye
hai ab 'amir' ko kyun zabt-e-ah ki takid
huzur hi ne to di hai zaban fughan ke liye
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 11)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.