ishq mein ji se guzarte hain guzarne wale
ishq meñ jī se guzarte haiñ guzarne vaale
maut kī raah nahīñ dekhte marne vaale
bazm-e-mātam meñ kabhī shab hī ko aa jā chhup kar
o mire sog ke parde meñ sañvarne vaale
daaġh dil se ye mire kahtā hai us kā joban
dekh is tarah guzarte haiñ guzarne vaale
āḳhirī vaqt bhī puurā na kiyā va.ada-e-vasl
aap aate hī rahe mar ga.e marne vaale
uThe aur kūcha-e-mahbūb meñ pahuñche 'āshiq
ye musāfir nahīñ rahte haiñ Thaharne vaale
naza.a meñ ham haiñ ġham-e-ishq ye chalātā hai
dekh ġhurbat meñ mujhe chhoḌ na marne vaale
jaan dene ko kahā maiñ ne to hañs kar bole
tum salāmat raho har roz ke marne vaale
teġh-o-ḳhanjar se na jhagḌā sar-o-gardan kā miTā
chal diye moḌ ke muñh faisla karne vaale
āsmāñ par jo sitāre nikal aa.e 'amīr'
yaad aa.e mujhe daaġh apne ubharne vaale
ishq mein ji se guzarte hain guzarne wale
maut ki rah nahin dekhte marne wale
bazm-e-matam mein kabhi shab hi ko aa ja chhup kar
o mere sog ke parde mein sanwarne wale
dagh dil se ye mere kahta hai us ka joban
dekh is tarah guzarte hain guzarne wale
aaKHiri waqt bhi pura na kiya wada-e-wasl
aap aate hi rahe mar gae marne wale
uThe aur kucha-e-mahbub mein pahunche 'ashiq
ye musafir nahin rahte hain Thaharne wale
naza mein hum hain gham-e-ishq ye chalata hai
dekh ghurbat mein mujhe chhoD na marne wale
jaan dene ko kaha main ne to hans kar bole
tum salamat raho har roz ke marne wale
tegh-o-KHanjar se na jhagDa sar-o-gardan ka miTa
chal diye moD ke munh faisla karne wale
aasman par jo sitare nikal aae 'amir'
yaad aae mujhe dagh apne ubharne wale
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.