KHabar hai nash pe kis be-wafa ke aane ki
ḳhabar hai na.ash pe kis be-vafā ke aane kī
ki jaan abhī se hai mushtāq jā ke aane kī
nikālte haiñ vo vo maañg aur dil ye kahtā hai
nikal rahī hai saḌak pe balā ke aane kī
shigāf siine meñ haiñ phir hai kyuuñ taḌap ai dil
darīchiyāñ to khulī haiñ havā ke aane kī
vo bār-bār nigāheñ idhar jo karte haiñ
dikhāte haiñ mujhe galiyāñ qazā ke aane kī
shab-e-visāl meñ us shoḳh ko pilā ke sharāb
maiñ rāheñ rok rahā huuñ hayā ke aane kī
hazār barq ne chal-phir ke mashq kī lekin
adā na tire muskurā ke aane ke
ye vaz’ mujh ko nahīñ hai pasand jaao bhī
adā nikālī hai tevar sī chaḌhā ke aane kī
na chuuk vaqt ko pākar ki hai ye vo ma’ashūq
kabhī ummīd nahīñ jis se jā ke aane kī
ghaTā meñ barq jo chamkī to yaad aa.ī 'amīr'
adā kisī kī vo parda uThā ke aane kī
KHabar hai nash pe kis be-wafa ke aane ki
ki jaan abhi se hai mushtaq ja ke aane ki
nikalte hain wo wo mang aur dil ye kahta hai
nikal rahi hai saDak pe bala ke aane ki
shigaf sine mein hain phir hai kyun taDap ai dil
darichiyan to khuli hain hawa ke aane ki
wo bar-bar nigahen idhar jo karte hain
dikhate hain mujhe galiyan qaza ke aane ki
shab-e-visal mein us shoKH ko pila ke sharab
main rahen rok raha hun haya ke aane ki
hazar barq ne chal-phir ke mashq ki lekin
ada na tere muskura ke aane ke
ye waz’ mujh ko nahin hai pasand jao bhi
ada nikali hai tewar si chaDha ke aane ki
na chuk waqt ko pakar ki hai ye wo ma’ashuq
kabhi ummid nahin jis se ja ke aane ki
ghaTa mein barq jo chamki to yaad aai 'amir'
ada kisi ki wo parda uTha ke aane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.