mubaf khul gaya hai kisi gul-ezar ka
mūbāf khul gayā hai kisī gul-ezār kā
āñchal laTak rahā hai urūs-e-bahār kā
kuchh to sabab hai gardish-e-lail-o-nahār kā
us par paḌā hai sabr kisī be-qarār kā
kyā dil jalā rahā hai pas-e-marg hai duā
ThanDā rahe charāġh ilāhī mazār kā
jin ko milā ke ḳhaak meñ ḳhush ho rahe ho tum
takiyoñ meñ dekho raqs bhī un ke ġhubār kā
gard-e-nazar se ho na mukaddar ulaT naqāb
ġhāfil ġhubār hai ye rah-e-intizār kā
phūloñ kā qāfila hai ki utrī hai ye barāt
har shāḳh-e-gul hai paañv urūs-e-bahār kā
aa.eñ vo yā na aa.eñ taras khā.eñ yā na khā.eñ
kyā iḳhtiyār girya-e-be-iḳhtiyār kā
phir baiThe baiThe va.ada-e-vasl us ne kar liyā
phir uTh khaḌā huā vahī rog intizār kā
dil-soz bekasī sā nahīñ koī ba.ad-e-marg
parvāna ho ga.ī mere sham'-e-mazār kā
ro.uuñ to un ko aatī hai be-sāḳhta hañsī
achchhā hai joḌ girya-e-be-iḳhtiyār kā
aisā mazā milā hai taḌap meñ ki hai duā
baḌh jaa.e aur tuul shab-e-intizār kā
par lag ga.e chaman ke tum aa.e jo sair ko
kyā uḌ chalā hai rañg urūs-e-bahār kā
vo shoḳh apnī raah hai ye apnī raah hai
qaabū kā dil-rubā hai na dil iḳhtiyār kā
saaqī ke haath se jo girā jaam kah uThā
TuuTā vo dil kahīñ kisī umīd-vār kā
ham-rāh hai jo hasrat-o-armāñ kī bhīḌ-bhāḌ
tābūt uThā 'amīr'-e-ġharīb-ud-dayār kā
mubaf khul gaya hai kisi gul-ezar ka
aanchal laTak raha hai urus-e-bahaar ka
kuchh to sabab hai gardish-e-lail-o-nahaar ka
us par paDa hai sabr kisi be-qarar ka
kya dil jala raha hai pas-e-marg hai dua
ThanDa rahe charagh ilahi mazar ka
jin ko mila ke KHak mein KHush ho rahe ho tum
takiyon mein dekho raqs bhi un ke ghubar ka
gard-e-nazar se ho na mukaddar ulaT naqab
ghafil ghubar hai ye rah-e-intizar ka
phulon ka qafila hai ki utri hai ye baraat
har shaKH-e-gul hai panw urus-e-bahaar ka
aaen wo ya na aaen taras khaen ya na khaen
kya iKHtiyar girya-e-be-iKHtiyar ka
phir baiThe baiThe wada-e-wasl us ne kar liya
phir uTh khaDa hua wahi rog intizar ka
dil-soz bekasi sa nahin koi baad-e-marg
parwana ho gai mere sham'-e-mazar ka
roun to un ko aati hai be-saKHta hansi
achchha hai joD girya-e-be-iKHtiyar ka
aisa maza mila hai taDap mein ki hai dua
baDh jae aur tul shab-e-intizar ka
par lag gae chaman ke tum aae jo sair ko
kya uD chala hai rang urus-e-bahaar ka
wo shoKH apni rah hai ye apni rah hai
qabu ka dil-ruba hai na dil iKHtiyar ka
saqi ke hath se jo gira jam kah uTha
TuTa wo dil kahin kisi umid-war ka
ham-rah hai jo hasrat-o-arman ki bhiD-bhaD
tabut uTha 'amir'-e-gharib-ud-dayar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.