wasl hasil hai magar hai gham-e-hijran ab tak
vasl hāsil hai magar hai ġham-e-hijrāñ ab tak
jam.a sāmān hai par dil hai pareshāñ ab tak
thak chuke par hai sar-e-sair-e-bayābāñ ab tak
vahī kāñTe haiñ vahī gosha-e-dāmāñ ab tak
teġh us turk ne go khol ke rakh dī hai magar
ro.ab bāñdhe hue hai shahr meñ maidāñ ab tak
qaid se dasht meñ aa.e hue muddat guzrī
shauq meñ mere khulā hai dar-e-zindāñ ab tak
piirī aa.ī hue sab mue siyah sar pe saped
sub.h hotī nahīñ lekin shab-e-hijrāñ ab tak
dil jigar sīna-o-sar sab hue chhalnī lekin
tiir par lagātī hai vo mizhgāñ ab tak
kitne bad-baḳht the jo chhoḌ ga.e rasm-e-sitam
mar chuke phir bhī likhe jaate haiñ 'isyāñ ab tak
'umr guzrī hai ki huuñ muntazir-e-roz-e-visāl
nahīñ aatā hai vo ai gardish-e-daurāñ ab tak
kyā rafū-gar kī nadāmat kī hai us ko bhī ḳhabar
hañs rahā hai jo mirā chāk-e-garebān ab tak
'umr guzrī hai ilāhī ajal aatī hai na yaar
koī mushkil mirī hotī nahīñ āsāñ ab tak
sho.arā uTh ga.e duniyā se magar dekh 'amīr'
achchhe sheroñ kā zamāna hai sanā-ḳhvāñ ab tak
wasl hasil hai magar hai gham-e-hijran ab tak
jama saman hai par dil hai pareshan ab tak
thak chuke par hai sar-e-sair-e-bayaban ab tak
wahi kanTe hain wahi gosha-e-daman ab tak
tegh us turk ne go khol ke rakh di hai magar
roab bandhe hue hai shahr mein maidan ab tak
qaid se dasht mein aae hue muddat guzri
shauq mein mere khula hai dar-e-zindan ab tak
piri aai hue sab mue siyah sar pe saped
subh hoti nahin lekin shab-e-hijran ab tak
dil jigar sina-o-sar sab hue chhalni lekin
tir par lagati hai wo mizhgan ab tak
kitne bad-baKHt the jo chhoD gae rasm-e-sitam
mar chuke phir bhi likhe jate hain 'isyan ab tak
'umr guzri hai ki hun muntazir-e-roz-e-visal
nahin aata hai wo ai gardish-e-dauran ab tak
kya rafu-gar ki nadamat ki hai us ko bhi KHabar
hans raha hai jo mera chaak-e-gareban ab tak
'umr guzri hai ilahi ajal aati hai na yar
koi mushkil meri hoti nahin aasan ab tak
shoara uTh gae duniya se magar dekh 'amir'
achchhe sheron ka zamana hai sana-KHwan ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.