main purana mast hun jannat mera kashana tha
maiñ purānā mast huuñ jannat merā kāshāna thā
huur saaqī chashma-e-kausar mirā paimāna thā
dī ga.ī mansūr ko suulī adab ke tark par
thā anal-haq haq magar ik lafz gustāḳhāna thā
yaar idhar badmast maiñ be-ḳhud takalluf bartaraf
aisī sohbat meñ jo aatā hosh kyā dīvāna thā
vaañ nigāh-e-tez-tez aur yaañ thiiñ aaheñ dard-ḳhez
vasl kī shab is taraf aañsū udhar afsāna thā
jām-e-jam ko dekhte hī maiñ ne pahchānā 'amīr'
mere hī mai-ḳhāna kā chhoTā sā ik paimāna thā
main purana mast hun jannat mera kashana tha
hur saqi chashma-e-kausar mera paimana tha
di gai mansur ko suli adab ke tark par
tha anal-haq haq magar ek lafz gustaKHana tha
yar idhar badmast main be-KHud takalluf bartaraf
aisi sohbat mein jo aata hosh kya diwana tha
wan nigah-e-tez-tez aur yan thin aahen dard-KHez
wasl ki shab is taraf aansu udhar afsana tha
jam-e-jam ko dekhte hi main ne pahchana 'amir'
mere hi mai-KHana ka chhoTa sa ek paimana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.