jamal-e-yar ko kahte ho tum ki han dekha
jamāl-e-yār ko kahte ho tum ki haañ dekhā
kalīm hosh meñ aao bhī kahāñ dekhā
vahī charāġh vahī gul vahī qamar vahī barq
na.e libās meñ dekhā use jahāñ dekhā
nahīñ hai duḳht-e-raz sā bhī koī husn-parast
Tapak paḌī ye jahāñ koī naujavāñ dekhā
fanā hai husn ko daulat ko zindagānī ko
jahāñ meñ na koī bāġh-e-be-ḳhizāñ dekhā
phañsī jo daam meñ bulbul to kin nigāhoñ se
kabhī chaman ko kabhī sū-e-āshiyāñ dekhā
shab-e-visāl vo sāmāñ vo raushnī vo nishāt
huī jo sub.h to ujḌā huā makāñ dekhā
bahār meñ jo nikālā hameñ to kyā paayā
ḳhizāñ meñ hāl-e-chaman tuune bāġhbāñ dekhā
tire visāl kī furqat meñ ham ko yaad aa.ī
luTā huā jo kahīñ koī kārvāñ dekhā
kaheñge vaqt-e-mulāqāt un se itnī baat
jo kuchh sunā thā vo āñkhoñ se mehrbāñ dekhā
dikhā.ī tark-e-ta.alluq ne shān-e-be-rañgī
baḌhe makān se aage to lā-makāñ dekhā
nukīlī chitvaneñ āñkhoñ meñ kyā jigar meñ chubheñ
'amīr' aaj ajab nok kā javāñ dekhā
jamal-e-yar ko kahte ho tum ki han dekha
kalim hosh mein aao bhi kahan dekha
wahi charagh wahi gul wahi qamar wahi barq
nae libas mein dekha use jahan dekha
nahin hai duKHt-e-raz sa bhi koi husn-parast
Tapak paDi ye jahan koi naujawan dekha
fana hai husn ko daulat ko zindagani ko
jahan mein na koi bagh-e-be-KHizan dekha
phansi jo dam mein bulbul to kin nigahon se
kabhi chaman ko kabhi su-e-ashiyan dekha
shab-e-visal wo saman wo raushni wo nishat
hui jo subh to ujDa hua makan dekha
bahaar mein jo nikala hamein to kya paya
KHizan mein haal-e-chaman tune baghban dekha
tere visal ki furqat mein hum ko yaad aai
luTa hua jo kahin koi karwan dekha
kahenge waqt-e-mulaqat un se itni baat
jo kuchh suna tha wo aankhon se mehrban dekha
dikhai tark-e-talluq ne shan-e-be-rangi
baDhe makan se aage to la-makan dekha
nukili chitwanen aankhon mein kya jigar mein chubhen
'amir' aaj ajab nok ka jawan dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.