ek dil hamdam mere pahlu se kya jata raha
ek dil hamdam mire pahlū se kyā jaatā rahā
sab taḌapne tilmilāne kā mazā jaatā rahā
sab karishme the javānī ke javānī kyā ga.ī
vo umañgeñ miT ga.iiñ vo valvala jaatā rahā
dard baaqī ġham salāmat hai magar ab dil kahāñ
haa.e vo ġham-dost vo dard-āshnā jaatā rahā
aane vaalā jaane vaalā be-kasī meñ kaun thā
haañ magar ik dam ġharīb aatā rahā jaatā rahā
aañkh kyā hai mohnī hai sahar hai e.ajāz hai
ik nigāh-e-lutf meñ saarā gilā jaatā rahā
mar gayā maiñ jab to zālim ne kahā afsos aaj
haa.e zālim haa.e zālim kā mazā jaatā rahā
dard baaqī daaġh baaqī dil hī pahlū meñ nahīñ
rah ga.e nā-āshnā sab āshnā jaatā rahā
jhūTe va.adoñ se vo rāhat kā sahārā bhī gayā
vaa.e qismat yaas kā bhī aasrā jaatā rahā
be-takalluf nashsha-e-mai ne to un ko kar diyā
parda sharmīlī nigāhoñ kā mazā jaatā rahā
sharbat-e-dīdār se taskīn sī kuchh ho ga.ī
dekh lene se davā kā dard kyā jaatā rahā
mujh ko galiyoñ meñ jo dekhā chheḌ kar kahne lagā
kyuuñ miyāñ kyā DhūñDte phirte ho kyā jaatā rahā
niiñd bhī furqat meñ khā baiThī hai aane kī qasam
ḳhvāb meñ bhī dekhne kā aasrā jaatā rahā
jab talak tum the kashīda dil thā ashkoñ se bharā
tum gale se mil ga.e saarā gilā jaatā rahā
marg-e-dushman par kaf-e-afsos tum malte to ho
phir maloge haath lo rañg-e-hinā jaatā rahā
shaiḳh-jī haiñ aur shab-bhar duḳht-e-raz se iḳhtilāt
vo taqaddus ho chukā vo iltiqā jaatā rahā
shoḳhiyāñ rag rag meñ haiñ jamtā vahāñ kis kā hai rañg
aate aate haath meñ rañg-e-hinā jaatā rahā
haa.e vo sub.h-e-shab-e-vasl un kā kahnā sharm se
aap jab aa.e to dil se mudda.ā jaatā rahā
dil vahī āñkheñ vahī lekin javānī vo kahāñ
haa.e ab vo tāknā vo jhāñknā jaatā rahā
maiñ ne chhātī se lagā kar jis ko rakhā umr-bhar
haa.e vo nāzoñ kā paalā dil mirā jaatā rahā
ghūrte dekhā jo ham chashmoñ meñ jhuñjhlā kar kahā
kyā lihāz āñkhoñ kā bhī o be-hayā jaatā rahā
kyā burī shai hai javānī raat din hai taak jhāñk
Dar butoñ kā ik taraf ḳhauf-e-ḳhudā jaatā rahā
kho gayā dil kho gayā rahtā to kyā hotā 'amīr'
jaane do ik be-vafā jaatā rahā jaatā rahā
ek dil hamdam mere pahlu se kya jata raha
sab taDapne tilmilane ka maza jata raha
sab karishme the jawani ke jawani kya gai
wo umangen miT gain wo walwala jata raha
dard baqi gham salamat hai magar ab dil kahan
hae wo gham-dost wo dard-ashna jata raha
aane wala jaane wala be-kasi mein kaun tha
han magar ek dam gharib aata raha jata raha
aankh kya hai mohni hai sahar hai eajaz hai
ek nigah-e-lutf mein sara gila jata raha
mar gaya main jab to zalim ne kaha afsos aaj
hae zalim hae zalim ka maza jata raha
dard baqi dagh baqi dil hi pahlu mein nahin
rah gae na-ashna sab aashna jata raha
jhuTe wadon se wo rahat ka sahaara bhi gaya
wae qismat yas ka bhi aasra jata raha
be-takalluf nashsha-e-mai ne to un ko kar diya
parda sharmili nigahon ka maza jata raha
sharbat-e-didar se taskin si kuchh ho gai
dekh lene se dawa ka dard kya jata raha
mujh ko galiyon mein jo dekha chheD kar kahne laga
kyun miyan kya DhunDte phirte ho kya jata raha
nind bhi furqat mein kha baiThi hai aane ki qasam
KHwab mein bhi dekhne ka aasra jata raha
jab talak tum the kashida dil tha ashkon se bhara
tum gale se mil gae sara gila jata raha
marg-e-dushman par kaf-e-afsos tum malte to ho
phir maloge hath lo rang-e-hina jata raha
shaiKH-ji hain aur shab-bhar duKHt-e-raz se iKHtilat
wo taqaddus ho chuka wo iltiqa jata raha
shoKHiyan rag rag mein hain jamta wahan kis ka hai rang
aate aate hath mein rang-e-hina jata raha
hae wo subh-e-shab-e-wasl un ka kahna sharm se
aap jab aae to dil se muddaa jata raha
dil wahi aankhen wahi lekin jawani wo kahan
hae ab wo takna wo jhankna jata raha
main ne chhati se laga kar jis ko rakha umr-bhar
hae wo nazon ka pala dil mera jata raha
ghurte dekha jo hum chashmon mein jhunjhla kar kaha
kya lihaz aankhon ka bhi o be-haya jata raha
kya buri shai hai jawani raat din hai tak jhank
Dar buton ka ek taraf KHauf-e-KHuda jata raha
kho gaya dil kho gaya rahta to kya hota 'amir'
jaane do ek be-wafa jata raha jata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.