sun katha meri achchhi saheli
sun kathā merī achchhī sahelī
raat meñ so rahī thī akelī
aa.ī ḳhushbū mujhe 'itr kī sī
chhū ga.ī saañs mujh ko kisī kī
chhā ga.ī un kī badlī karam kī
band āñkhoñ meñ bijlī sī chamkī
ho gayā fazl baarī tā'lā
aayā ghar meñ mere kamlī vaalā
mahv-e-dīd-e-ruḳh yaar huuñ maiñ
ḳhvāb meñ huuñ ki bedār huuñ maiñ
ab chale aag meñ merī sautan
maiñ to rākhūñgī dāman se dāman
ab kahīñ us ko jaane na dūñgī
ġhair ko muñh dikhāne na dūñgī
ġham-kade meñ mere 'iid hogī
ab to āThoñ pahar giit hogī
maiñ usī bazm meñ jhūmtī thī
apnī qismat kā muñh chūmtī thī
yak ba-yak jab zarā aañkh chamkī
kaḌ kaḌā kar girī ġham kī bijlī
haa.e taqdīr ne rañg badlā
phir ye dekhā ki us ko na dekhā
us ne jalva dikhāyā hī kyuuñ thā
jaane vaalā phir aayā hī kyuuñ thā
us ne amjad kā jī kyuuñ jalāyā
chhupne vaale ne muñh kyuuñ dikhāyā
ab na ham haiñ na vo ham-nashīñ haiñ
haa.e sab ho ke phir kuchh nahīñ hai
sun katha meri achchhi saheli
raat mein so rahi thi akeli
aai KHushbu mujhe 'itr ki si
chhu gai sans mujh ko kisi ki
chha gai un ki badli karam ki
band aankhon mein bijli si chamki
ho gaya fazl bari ta'la
aaya ghar mein mere kamli wala
mahw-e-did-e-ruKH yar hun main
KHwab mein hun ki bedar hun main
ab chale aag mein meri sautan
main to rakhungi daman se daman
ab kahin us ko jaane na dungi
ghair ko munh dikhane na dungi
gham-kade mein mere 'id hogi
ab to aaThon pahar git hogi
main usi bazm mein jhumti thi
apni qismat ka munh chumti thi
yak ba-yak jab zara aankh chamki
kaD kaDa kar giri gham ki bijli
hae taqdir ne rang badla
phir ye dekha ki us ko na dekha
us ne jalwa dikhaya hi kyun tha
jaane wala phir aaya hi kyun tha
us ne amjad ka ji kyun jalaya
chhupne wale ne munh kyun dikhaya
ab na hum hain na wo ham-nashin hain
hae sab ho ke phir kuchh nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.