Font by Mehr Nastaliq Web

sham-e-gham firaq bhi kitni ajib hai

Anwar Farrukhabadi

sham-e-gham firaq bhi kitni ajib hai

Anwar Farrukhabadi

Interesting Fact

اسمعٰیل آزاد قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔

shām-e-ġham firāq bhī kitnī 'ajīb hai

ma'alūm ho rahā hai qiyāmat qarīb hai

marqad se kam nahīñ hai judā.ī raat bhī

majbūriyāñ haiñ maiñ huuñ ḳhayāl-e-habīb hai

maiñ jāntā huuñ kis liye duniyā hai mehrbāñ

us mehrbāñ aaḌ meñ koī raqīb hai

us be-vafā se maiñ ne mohabbat ke naam par

va’ada to le liyā hai ab aage nasīb hai

'anvar' sharāb-ḳhāna hai dair-o-haram se duur

lekin sharāb-ḳhāne se jannat qarīb hai

sham-e-gham firaq bhi kitni 'ajib hai

ma'alum ho raha hai qiyamat qarib hai

marqad se kam nahin hai judai ki raat bhi

majburiyan hain main hun KHayal-e-habib hai

main jaanta hun kis liye duniya hai mehrban

us mehrban ki aaD mein koi raqib hai

us be-wafa se main ne mohabbat ke nam par

wa’ada to le liya hai ab aage nasib hai

'anwar' sharab-KHana hai dair-o-haram se dur

lekin sharab-KHane se jannat qarib hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now