ye jalwon ki masti ye ulfat ki baada nazar se pilane ki koshish na karna
ye jalwon ki masti ye ulfat ki baada nazar se pilane ki koshish na karna
Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
Interesting Fact
پاکستانی فلم ’’بدنام‘‘ بطرز کوشش نہ کرنا میں اسمعٰیل آزاد قوال نے اپنی آواز دی ہے۔
ye jalvoñ kī mastī ye ulfat kī baada nazar se pilāne kī koshish na karnā
hameñ in adāoñ se be-ḳhud banā kar sharābī banāne kī koshish na karnā
ye rasm-e-chaman hai jo kal hañs rahe the vo phuul aaj murjhā ga.e haiñ chaman meñ
koī jā ke ma.asūm kaliyoñ se kah de yahāñ muskurāne kī koshish na karnā
mubārak hoñ tum ko ye dilkash nazāre tumhāre muqaddar meñ haiñ chāñd taare
mirī zindagī meñ haiñ aañsū hī aañsū mire paas aane kī koshish na karnā
tumheñ apnī qismat se jab ham ne māñgā to kānoñ meñ ye saaf āvāz aa.ī
muqaddar kī tahrīr miTtī nahīñ hai nasīb āzmāne kī koshish na karnā
mohabbat ke aañsū haiñ motī kī laḌiyāñ mubārak hoñ tujh ko judā.ī kī ghaḌiyāñ
ḳhabar-dār is ġham se ghabrā ke 'anvar' use bhuul jaane kī koshish na karnā
ye jalwon ki masti ye ulfat ki baada nazar se pilane ki koshish na karna
hamein in adaon se be-KHud bana kar sharabi banane ki koshish na karna
ye rasm-e-chaman hai jo kal hans rahe the wo phul aaj murjha gae hain chaman mein
koi ja ke masum kaliyon se kah de yahan muskurane ki koshish na karna
mubarak hon tum ko ye dilkash nazare tumhaare muqaddar mein hain chand tare
meri zindagi mein hain aansu hi aansu mere pas aane ki koshish na karna
tumhein apni qismat se jab hum ne manga to kanon mein ye saf aawaz aai
muqaddar ki tahrir miTti nahin hai nasib aazmane ki koshish na karna
mohabbat ke aansu hain moti ki laDiyan mubarak hon tujh ko judai ki ghaDiyan
KHabar-dar is gham se ghabra ke 'anwar' use bhul jaane ki koshish na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.