jis ko ek bar wo didar dikha dete hain
Interesting Fact
فلم ’’تاج محل‘‘ بطرز ’’پاؤں چھو لینے دو پھولوں کو عنایت ہوگی‘‘ اسمعٰیل آزاد قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
jis ko ek baar vo dīdār dikhā dete haiñ
'umr-bhar ke liye dīvāna banā dete haiñ
'ishq meñ dard-e-tamannā kī shikāyat kaisī
ham tirī chashm-e-'ināyat ko du'ā dete haiñ
dard-e-tanhā.ī kī lazzat koī mujh se pūchhe
ye vo aañsū haiñ jo rāhat kā mazā dete haiñ
bijliyoñ se to milā karatā hai añgḌā.ī kā haal
chāñd taare tirī sūrat kā pata dete haiñ
is tarah bajte haiñ TuuTe hue jaam ai vā'iz
jis tarah utare hue taar sadā dete haiñ
dekhiye pyaar kī ḳhairāt meñ dīvānoñ ko
dard dete haiñ ki 'anvar' vo davā dete haiñ
jis ko ek bar wo didar dikha dete hain
'umr-bhar ke liye diwana bana dete hain
'ishq mein dard-e-tamanna ki shikayat kaisi
hum teri chashm-e-'inayat ko du'a dete hain
dard-e-tanhai ki lazzat koi mujh se puchhe
ye wo aansu hain jo rahat ka maza dete hain
bijliyon se to mila karata hai angDai ka haal
chand tare teri surat ka pata dete hain
is tarah bajte hain TuTe hue jam ai wa'iz
jis tarah utare hue tar sada dete hain
dekhiye pyar ki KHairaat mein diwanon ko
dard dete hain ki 'anwar' wo dawa dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.