koi apne hathon se shisha gira de koi jhum kar jam-o-KHum toD Dale
koi apne hathon se shisha gira de koi jhum kar jam-o-KHum toD Dale
Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
Interesting Fact
اسمعٰیل آزاد قول نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
koī apne hāthoñ se shīsha girā de koī jhuum kar jām-o-ḳhum toḌ Daale
agar tum mohabbat se aakar pilāo to dīvāna apnī qasam toḌ Daale
mohabbat meñ ik iltijā kī thī maiñ ne baḌe pyaar se ye ḳhatā kī maiñ ne
ḳhudā kī qasam sirf itnī ḳhatā par sitamgar ne lākhoñ sitam toḌ Daale
jo tū but-kade kī taraf ho ke guzre to zāhid vahāñ apnā ka.aba banā le
pujārī agar tujh ko ik baar dekhe to chun-chun ke ek-ek sanam toḌ Daale
maiñ jab us ko samjhūñ maiñ jab is ko jānūñ maiñ jab us ko apnāo jab is ko mānūñ
jo kāfir samajhtā hai mujh ko ye kāfir mirā kufr hī kam se kam toḌ Daale
'ajab us kī mahfil kā 'ālam thā 'anvar' kuchh is tarah dīvāngī chhā.ī sab par
idhar us ne añgḌā.ī ko haath uThā.e udhar shā.iroñ ne qalam toḌ Daale
koi apne hathon se shisha gira de koi jhum kar jam-o-KHum toD Dale
agar tum mohabbat se aakar pilao to diwana apni qasam toD Dale
mohabbat mein ek iltija ki thi main ne baDe pyar se ye KHata ki main ne
KHuda ki qasam sirf itni KHata par sitamgar ne lakhon sitam toD Dale
jo tu but-kade ki taraf ho ke guzre to zahid wahan apna kaba bana le
pujari agar tujh ko ek bar dekhe to chun-chun ke ek-ek sanam toD Dale
main jab us ko samjhun main jab is ko jaanun main jab us ko apnao jab is ko manun
jo kafir samajhta hai mujh ko ye kafir mera kufr hi kam se kam toD Dale
'ajab us ki mahfil ka 'alam tha 'anwar' kuchh is tarah diwangi chhai sab par
idhar us ne angDai ko hath uThae udhar shairon ne qalam toD Dale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.