agar jogan tumhaar dar se Khaali hath jaegi
Interesting Fact
فلم ’’ہماری یاد آئے گی‘‘ بطرز ’’کبھی تنہائیوں میں بھی ہماری یاد آئے گی‘‘ اسمعٰیل آزاد قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
agar jogan tumhār dar se ḳhālī haath jā.egī
to is majbūr kī hālat ye duniyā muskurā.egī
bhikāran aap ke rauze pe aañsū le ke aa.ī hai
vo aañsū le ke aa.ī hai murādeñ le ke jā.egī
ḳhabar kyā thā rah-e-sabr-o-razā dushvār hai itnī
ki ulfat Thokareñ khā.egī aur aañsū bahā.egī
hameñ apnī tabāhī kā zarā bhī ġham nahīñ lekin
na hoñge ham to duniyā aap par añgulī uThā.egī
tumheñ ma.alūm hai 'anvar' tumhārā nām-levā hai
jo us kī baat jā.egī to kis kī baat jā.egī
agar jogan tumhaar dar se KHali hath jaegi
to is majbur ki haalat ye duniya muskuraegi
bhikaran aap ke rauze pe aansu le ke aai hai
wo aansu le ke aai hai muraden le ke jaegi
KHabar kya tha rah-e-sabr-o-raza dushwar hai itni
ki ulfat Thokaren khaegi aur aansu bahaegi
hamein apni tabahi ka zara bhi gham nahin lekin
na honge hum to duniya aap par anguli uThaegi
tumhein malum hai 'anwar' tumhaara nam-lewa hai
jo us ki baat jaegi to kis ki baat jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.