aam hain aaj bhi tere jalwe aur koi dekh sakta nahin hai
aam hain aaj bhi tere jalwe aur koi dekh sakta nahin hai
Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
Interesting Fact
اسمعٰیل آزاد قوال نے اس کلام سے اپنا ریکارڈ بنایا ہے۔
'aam haiñ aaj bhī tere jalve aur koī dekh saktā nahīñ hai
sab kī añkhoñ pe parda paḌā hai tere chehre pe parda nahīñ hai
soch lo dil lagāne se pahle log badnām kar deñge tum ko
pyaar ko chāhe jitnā chhupāo ye chhupāne se chhuptā nahīñ hai
log chalte haiñ kāñToñ se bach kar maiñ bachātā huuñ phūloñ se dāman
is qadar khaa.e haiñ maiñ ne dhoke ab kisī par bharosa nahīñ hai
kyā kaheñ haal qāsid se apnā dekhnā ho to aa jā.egā
aap rahte haiñ parde meñ lekin aap se koī parda nahīñ hai
ye 'aqīdat nahīñ hai to kyā hai ye mohabbat nahīñ hai to kyā hai
us par ham jaan dete haiñ 'anvar' jis ko āñkhoñ se dekhā nahīñ hai
'am hain aaj bhi tere jalwe aur koi dekh sakta nahin hai
sab ki ankhon pe parda paDa hai tere chehre pe parda nahin hai
soch lo dil lagane se pahle log badnam kar denge tum ko
pyar ko chahe jitna chhupao ye chhupane se chhupta nahin hai
log chalte hain kanTon se bach kar main bachata hun phulon se daman
is qadar khae hain main ne dhoke ab kisi par bharosa nahin hai
kya kahen haal qasid se apna dekhna ho to aa jaega
aap rahte hain parde mein lekin aap se koi parda nahin hai
ye 'aqidat nahin hai to kya hai ye mohabbat nahin hai to kya hai
us par hum jaan dete hain 'anwar' jis ko aankhon se dekha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.