nazar milate hi jam-e-sharab milta hai
Interesting Fact
اجمیر کے ریوت قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
nazar milāte hī jām-e-sharāb miltā hai
savāl karne se pahle javāb miltā hai
tumhārī aañkh se miltī hai aañkh nargis kī
tumhāre rañg se rañg-e-gulāb miltā hai
tumheñ to logoñ ne ma.asūm kah ke chhoḌ diyā
ye dekhnā hai mujhe kyā ḳhitāb miltā hai
jo sirf us ke karam par nigāh rakhte haiñ
gunāh kar ke bhī un ko savāb miltā hai
kisī se koī shikāyat nahīñ magar 'anvar'
hameñ jo miltā hai vo lā-javāb miltā hai
nazar milate hi jam-e-sharab milta hai
sawal karne se pahle jawab milta hai
tumhaari aankh se milti hai aankh nargis ki
tumhaare rang se rang-e-gulab milta hai
tumhein to logon ne masum kah ke chhoD diya
ye dekhna hai mujhe kya KHitab milta hai
jo sirf us ke karam par nigah rakhte hain
gunah kar ke bhi un ko sawab milta hai
kisi se koi shikayat nahin magar 'anwar'
hamein jo milta hai wo la-jawab milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.