ye mahfil hai yahan par kaun rokega zaban meri
Interesting Fact
شیخ لعل قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
ye mahfil hai yahāñ par kaun rokegā zabāñ merī
tumheñ dil thaam kar sunñā paḌegī dāstāñ merī
sunā.ūñ kyā maiñ jazb-e-shauq kī be-chainiyāñ un ko
mirā har ek aañsū kah rahā hai dāstāñ merī
huiiñ jab āsmāñ se bijliyoñ kī barkateñ nāzil
tabarruk ho ga.ī gulshan meñ ḳhāk-e-āshiyāñ merī
sitāre dam-ba-ḳhud chup āsmāñ ḳhāmosh har manzar
ḳhudā ma'alūm kis ne chheḌ dī hai dāstāñ merī
kahāñ aaheñ kahāñ naale kahāñ un kā ḳhayāl 'anvar'
mujhe Dar hai kahīñ naġhma na ban jaa.e fuġhāñ merī
ye mahfil hai yahan par kaun rokega zaban meri
tumhein dil tham kar sunna paDegi dastan meri
sunaun kya main jazb-e-shauq ki be-chainiyan un ko
mera har ek aansu kah raha hai dastan meri
huin jab aasman se bijliyon ki barkaten nazil
tabarruk ho gai gulshan mein KHak-e-ashiyan meri
sitare dam-ba-KHud chup aasman KHamosh har manzar
KHuda ma'alum kis ne chheD di hai dastan meri
kahan aahen kahan nale kahan un ka KHayal 'anwar'
mujhe Dar hai kahin naghma na ban jae fughan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.