phir tujhko dekhne ki lagan le ke aae hain
Interesting Fact
اجمیر کے ریوت قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
phir tujh ko dekhne kī lagan le ke aa.e haiñ
dīvāne apne saath kafan le ke aa.e haiñ
yā-rab ye ḳhvāb hai ki mirī shaam kā nasīb
ghūñghaT meñ vo samar kī kiran le ke aa.e haiñ
sābit kiyā hai kāñToñ ne dāman ko thaam kar
dushman bhī dostoñ kā chalan le ke aa.e haiñ
allāh dilbaroñ ko mirī 'umr baḳhsh de
kitnā hasīn tarz-e-suḳhan le ke aa.e haiñ
dīvāne phuul chunñe ga.e the bahār meñ
lekin vahāñ se ḳhāk-e-chaman le ke aa.e haiñ
baada hai ye gilās meñ ye 'anvar' ki shaiḳh jī
shīshe kī pālkī meñ dulhan le ke aa.e haiñ
phir tujh ko dekhne ki lagan le ke aae hain
diwane apne sath kafan le ke aae hain
ya-rab ye KHwab hai ki meri sham ka nasib
ghunghaT mein wo samar ki kiran le ke aae hain
sabit kiya hai kanTon ne daman ko tham kar
dushman bhi doston ka chalan le ke aae hain
allah dilbaron ko meri 'umr baKHsh de
kitna hasin tarz-e-suKHan le ke aae hain
diwane phul chunne gae the bahaar mein
lekin wahan se KHak-e-chaman le ke aae hain
baada hai ye gilas mein ye 'anwar' ki shaiKH ji
shishe ki palki mein dulhan le ke aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.