yahi waqt hai mai-kada ja ke zahid sharab-e-mohabbat se dil apna dho le
yahi waqt hai mai-kada ja ke zahid sharab-e-mohabbat se dil apna dho le
Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
yahī vaqt hai mai-kada jā ke zāhid sharāb-e-mohabbat se dil apnā dho le
vo dekh āsmāñ se ghaTāoñ kī pariyāñ chalī aa rahī haiñ idhar baal khole
ye maanā shab-e-hijr mushkil hai jiinā magar ġham ko aa jā.egā ḳhud pasīna
abhī Thahar jaao sahr kī hasīna zarā apne bāloñ meñ motī piro le
ḳhudā kī qasam ḳhud hī so jaa.eñ nīndeñ tāroñ kī duniyā meñ kho jaa.eñ nīndeñ
nisār us kī āñkhoñ pe ho jaa.eñ nīndeñ jo ik raat āġhosh meñ tere so le
mire dil kī duniyā se un kī nazar tak taḌapte haiñ sajde to kyā sajda dar tak
pahuñchnā hoñ jis ko bhī ab un ke dar tak vo dīvāna ban kar mire saath ho le
sunī jab ġhazal mujh se mahfil ke andar to sharmā ke bole mukarrar mukarrar
sadāqat kā jaadū vo jaadū hai 'anvar' jo saare zamāne meñ sar chaḌh ke bole
yahi waqt hai mai-kada ja ke zahid sharab-e-mohabbat se dil apna dho le
wo dekh aasman se ghaTaon ki pariyan chali aa rahi hain idhar baal khole
ye mana shab-e-hijr mushkil hai jina magar gham ko aa jaega KHud pasina
abhi Thahar jao sahr ki hasina zara apne baalon mein moti piro le
KHuda ki qasam KHud hi so jaen ninden taron ki duniya mein kho jaen ninden
nisar us ki aankhon pe ho jaen ninden jo ek raat aaghosh mein tere so le
mere dil ki duniya se un ki nazar tak taDapte hain sajde to kya sajda dar tak
pahunchna hon jis ko bhi ab un ke dar tak wo diwana ban kar mere sath ho le
suni jab ghazal mujh se mahfil ke andar to sharma ke bole mukarrar mukarrar
sadaqat ka jadu wo jadu hai 'anwar' jo sare zamane mein sar chaDh ke bole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.