aql ka hukm hai udhar tu na jaana ai dil
aql ka hukm hai udhar tu na jaana ai dil
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
'aql kā hukm hai udhar tū na jaanā ai dil
'ishq kahtā hai ki phir vaañ se na aanā ai dil
'aql ḳhārij huī jis vaqt huā 'ishq kā daḳhl
aañkh lagte hī hue hosh ravāna ai dil
girya mat kar nahīñ hone kā ġham-e-yār firo
hai kaThin paanī se ye aag bujhānā ai dil
maiñ na kahtā thā ki ik roz tū rusvā hogā
is qadar us pe huā kyuuñ tū divānā ai dil
tā'n-o-tashnī' raqīboñ se salāmat hai muhāl
'ishq-bāzī hai malāmat kā nishāna ai dil
baaz aa maan kahā us kī taraf phir mat jā
kyā nahīñ aur kahīñ terā Thikānā ai dil
kyuuñ tū majnūñ-sā huā 'ishq meñ añgusht-numā
naam rakhtā hai tirā ek zamānā ai dil
dilbarī kuchh bhī ho jis meñ hai dil-āzār vahī
bar meñ apne kabhī us ko na biThānā ai dil
jis ko maiñ jān-e-'azīz apnā samajhtā thā 'turāb'
'ishq meñ vo bhī huā mujh se begānā ai dil
'aql ka hukm hai udhar tu na jaana ai dil
'ishq kahta hai ki phir wan se na aana ai dil
'aql KHarij hui jis waqt hua 'ishq ka daKHl
aankh lagte hi hue hosh rawana ai dil
girya mat kar nahin hone ka gham-e-yar firo
hai kaThin pani se ye aag bujhana ai dil
main na kahta tha ki ek roz tu ruswa hoga
is qadar us pe hua kyun tu diwana ai dil
ta'n-o-tashni' raqibon se salamat hai muhaal
'ishq-bazi hai malamat ka nishana ai dil
baz aa man kaha us ki taraf phir mat ja
kya nahin aur kahin tera Thikana ai dil
kyun tu majnun-sa hua 'ishq mein angusht-numa
nam rakhta hai tera ek zamana ai dil
dilbari kuchh bhi ho jis mein hai dil-azar wahi
bar mein apne kabhi us ko na biThana ai dil
jis ko main jaan-e-'aziz apna samajhta tha 'turab'
'ishq mein wo bhi hua mujh se begana ai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.