arz-e-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ rahā
arz-e-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ rahā
jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
jaatā huuñ dāġh-e-hasrat-e-hastī liye hue
huuñ sham-e-kushta dar-ḳhur-e-mahfil nahīñ rahā
marne kī ai dil aur hī tadbīr kar ki maiñ
shāyān-e-dast-o-bāzū-e-qātil nahīñ rahā
bar-rū-e-shash-jahat dar-e-ā.īna baaz hai
yaañ imtiyāz-e-nāqis-o-kāmil nahīñ rahā
vā kar diye haiñ shauq ne band-e-naqāb-e-husn
ġhair-az-nigāh ab koī haa.il nahīñ rahā
go maiñ rahā rahīn-e-sitam-hā-e-rozgār
lekin tire ḳhayāl se ġhāfil nahīñ rahā
dil se havā-e-kisht-e-vafā miT ga.ī ki vaañ
hāsil sivā.e hasrat-e-hāsil nahīñ rahā
bedād-e-ishq se nahīñ Dartā magar 'asad'
jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
har-chand maiñ huuñ tūti-e-shīrīñ-suḳhan vale
ā.īna aah mere muqābil nahīñ rahā
jāñ-dād-gāñ kā hausla fursat-gudāz hai
yaañ arsa-e-tapīdan-e-bismil nahīñ rahā
huuñ qatra-zan ba-vādī-e-hasrat shabāna roz
juz tār-e-ashk jāda-e-manzil nahīñ rahā
ai aah merī ḳhātir-e-vābasta ke sivā
duniyā meñ koī uqda-e-mushkil nahīñ rahā
andāz-e-nāla yaad haiñ sab mujh ko par 'asad'
jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
arz-e-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ rahā
jis dil pe naz thā mujhe wo dil nahīñ rahā
jatā huñ dāġh-e-hasrat-e-hastī liye hue
huñ sham-e-kushta dar-ḳhur-e-mahfil nahīñ rahā
marne kī ai dil aur hī tadbīr kar ki maiñ
shāyān-e-dast-o-bāzū-e-qātil nahīñ rahā
bar-rū-e-shash-jahat dar-e-āīna baz hai
yañ imtiyāz-e-nāqis-o-kāmil nahīñ rahā
wā kar diye haiñ shauq ne band-e-naqāb-e-husn
ġhair-az-nigāh ab koī hail nahīñ rahā
go maiñ rahā rahīn-e-sitam-hā-e-rozgār
lekin tere ḳhayāl se ġhāfil nahīñ rahā
dil se hawā-e-kisht-e-wafā miT gaī ki wañ
hāsil siwāe hasrat-e-hāsil nahīñ rahā
bedād-e-ishq se nahīñ Dartā magar 'asad'
jis dil pe naz thā mujhe wo dil nahīñ rahā
har-chand maiñ huñ tūti-e-shīrīñ-suḳhan wale
āīna aah mere muqābil nahīñ rahā
jāñ-dād-gāñ kā hausla fursat-gudāz hai
yañ arsa-e-tapīdan-e-bismil nahīñ rahā
huñ qatra-zan ba-wādī-e-hasrat shabāna roz
juz tār-e-ashk jāda-e-manzil nahīñ rahā
ai aah merī ḳhātir-e-wābasta ke siwā
duniyā meñ koī uqda-e-mushkil nahīñ rahā
andāz-e-nāla yaad haiñ sab mujh ko par 'asad'
jis dil pe naz thā mujhe wo dil nahīñ rahā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.