hosh kisi ka bhi na rakh jalwa-gah-e-namaz mein
hosh kisī kā bhī na rakh jalva-gāh-e-namāz meñ
balki ḳhudā ko bhuul jā sajda-e-be-niyāz meñ
rāz-e-nishāt-e-kHuld hai kHanda-e-dil-navāz meñ
'aib-o-shuhūd ke rumūz nargis-e-nīm-bāz meñ
aaj to iztirāb-e-shauq had se sivā ho gayā
aur bhī jaan paḌ ga.ī 'ishvā-e-jāñ-gudāz meñ
is se ziyāda aur kyā shokHī-e-naqsh-e-pā kahūñ
barq sī ik chamak ga.ī aaj sar-e-niyāz meñ
parda-e-dahr kuchh nahīñ ik adā-e-shokH hai
ḳhaak uThā ke Daal dī dīda-e-imtiyāz meñ
ai dil-e-shokH-o-hīlā jo zer-e-makīn-e-rañg-o-bū
tā.ir-e-qadah ko bhī le dām-gah-e-majāz meñ
sab se adā-e-be-kHudī varna adā-e-husn kyā
hosh kā jab guzar nahīñ us kī harīm-e-nāz meñ
hosh kisi ka bhi na rakh jalwa-gah-e-namaz mein
balki KHuda ko bhul ja sajda-e-be-niyaz mein
raaz-e-nishat-e-kHuld hai kHanda-e-dil-nawaz mein
'aib-o-shuhud ke rumuz nargis-e-nim-baz mein
aaj to iztirab-e-shauq had se siwa ho gaya
aur bhi jaan paD gai 'ishwa-e-jaan-gudaz mein
is se ziyaada aur kya shokHi-e-naqsh-e-pa kahun
barq si ek chamak gai aaj sar-e-niyaz mein
parda-e-dahr kuchh nahin ek ada-e-shokH hai
KHak uTha ke Dal di dida-e-imtiyaz mein
ai dil-e-shokH-o-hila jo zer-e-makin-e-rang-o-bu
tair-e-qadah ko bhi le dam-gah-e-majaz mein
sab se ada-e-be-kHudi warna ada-e-husn kya
hosh ka jab guzar nahin us ki harim-e-naz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.