aankhon mein teri bazm-e-tamasha liye hue
āñkhoñ meñ terī bazm-e-tamāshā liye hue
jannat meñ bhī huuñ jannat-e-duniyā liye hue
pās-e-adab meñ josh-e-tamannā liye hue
maiñ bhī huuñ ik habāb meñ dariyā liye hue
kis tarh husn-e-dost hai be-parda āshakār
sad.hā hijāb sūrat-o-ma.anī liye hue
suufī ko hai mushāhida haq kā iddi’ā
sad.hā hijāb-e-dīda-e-bīnā liye hue
tū barq-e-husn aur tajallī hai ye gurez
maiñ ḳhaak aur zauq-e-tamāshā liye hue
rag-rag meñ aur kuchh na rahā juz ḳhayāl-e-dost
us shoḳh ko huuñ aaj sarāpā liye hue
'asġhar' hujūm-e-dard-e-ġharībī meñ is kī yaad
aa.ī hai ek tilism-e-tamannā liye hue
aankhon mein teri bazm-e-tamasha liye hue
jannat mein bhi hun jannat-e-duniya liye hue
pas-e-adab mein josh-e-tamanna liye hue
main bhi hun ek habab mein dariya liye hue
kis tarh husn-e-dost hai be-parda aashakar
sadha hijab surat-o-mani liye hue
sufi ko hai mushahida haq ka iddi’a
sadha hijab-e-dida-e-bina liye hue
tu barq-e-husn aur tajalli hai ye gurez
main KHak aur zauq-e-tamasha liye hue
rag-rag mein aur kuchh na raha juz KHayal-e-dost
us shoKH ko hun aaj sarapa liye hue
'asghar' hujum-e-dard-e-gharibi mein is ki yaad
aai hai ek tilism-e-tamanna liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.