tark-e-muddaa kar de ’ain-e-muddaa ho ja
tark-e-mudda'ā kar de ’ain-e-mudda'ā ho jā
shān-e-’abd paidā kar maz.har-e-ḳhudā ho jā
us kī raah meñ miT kar be-niyāz-e-kHilqat ban
husn par fidā hokar husn kī adā ho jā
barg-e-gul ke dāman par rañg ban ke jamnā kyā
is fazā-e-gulshan meñ mauja-e-sabā ho jā
tū hai jab payām us kā phir payām kyā terā
tū hai jab sadā us kī aap be-sadā ho jā
aadmī nahīñ suntā aadmī kī bātoñ ko
paikar-e-’amal ban kar ġhaib kī sadā ho jā
sāz-e-dil ke pardoñ ko ḳhud vo chheḌtā hai jab
jān-e-muztarib ban kar tū bhī lab-kushā ho jā
qatra-e-tunak-māya bahr-e-be-karāñ hai tū
apnī ibtidā hokar apnī intihā ho jā
tark-e-mudda'a kar de ’ain-e-mudda'a ho ja
shan-e-’abd paida kar mazhar-e-KHuda ho ja
us ki rah mein miT kar be-niyaz-e-kHilqat ban
husn par fida hokar husn ki ada ho ja
barg-e-gul ke daman par rang ban ke jamna kya
is faza-e-gulshan mein mauja-e-saba ho ja
tu hai jab payam us ka phir payam kya tera
tu hai jab sada us ki aap be-sada ho ja
aadmi nahin sunta aadmi ki baaton ko
paikar-e-’amal ban kar ghaib ki sada ho ja
saz-e-dil ke pardon ko KHud wo chheDta hai jab
jaan-e-muztarib ban kar tu bhi lab-kusha ho ja
qatra-e-tunak-maya bahr-e-be-karan hai tu
apni ibtida hokar apni intiha ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.