numayan kar diya usne bahaar-e-ru-e-KHandan ko
numāyāñ kar diyā us ne bahār-e-rū-e-ḳhandāñ ko
ki dī naġhme ko mastī rañg kuchh sehn-e-gulistāñ ko
zarā taklīf-e-juñbish de nigāh-e-barq-e-sāmāñ ko
jahāñ meñ muntashir kar de mazāq-e-soz pinhāñ ko
zarā roke hue lauh-e-tabassum hā-e-pinhāñ ko
abhī ye le uḌeñgī bijliyāñ tār-e-rag-e-jāñ ko
bas itne pe huā hañgāma-e-dār-o-rasan barpā
ki le āġhosh meñ ā.īna kyuuñ mehr-e-daraḳhshāñ ko
sunā hai hashr meñ shān-e-karam betāb niklegī
lagā rakhā hai siine se matā-e’-zauq-e’-'isyāñ ko
ab un rā’anā.iyoñ par shikva-e-jaur-o-sitam kaisā
ki ḳhvāb-ālud us ne kar liyā chashm-e-pashemāñ ko
hue jo mājare kHalvat-sarā-e-rāz meñ us se
na kufr ab tak huā vāqif ḳhabar us kī na īmāñ ko
yahāñ kuchh naḳhl par bikhre hue aurāq-e-rañgīñ haiñ
magar ik musht-e-par se pūchhiye rāz-e-gulistāñ ko
dikhā.ī sūrat-e-gul par bahār-e-shokHī-e-pinhāñ
chhupāyā ma’anī-e-gul meñ kuchh husn-e-numāyāñ ko
tamannā hai nikal kar sāmne bhī ’ishva-farmā ho
koī detā hai jumbish barda-e-be-tābī-e-jāñ ko
na maiñ dīvāna huuñ 'asġhar' na mujh ko zauq-e-'uryānī
koī khīñche liye jaatā hai ḳhud jaib-o-garebāñ ko
numayan kar diya us ne bahaar-e-ru-e-KHandan ko
ki di naghme ko masti rang kuchh sehn-e-gulistan ko
zara taklif-e-junbish de nigah-e-barq-e-saman ko
jahan mein muntashir kar de mazaq-e-soz pinhan ko
zara roke hue lauh-e-tabassum ha-e-pinhan ko
abhi ye le uDengi bijliyan tar-e-rag-e-jaan ko
bas itne pe hua hangama-e-dar-o-rasan barpa
ki le aaghosh mein aaina kyun mehr-e-daraKHshan ko
suna hai hashr mein shan-e-karam betab niklegi
laga rakha hai sine se mata-e’-zauq-e’-'isyan ko
ab un ra’anaiyon par shikwa-e-jaur-o-sitam kaisa
ki KHwab-alud us ne kar liya chashm-e-pasheman ko
hue jo majare kHalwat-sara-e-raaz mein us se
na kufr ab tak hua waqif KHabar us ki na iman ko
yahan kuchh naKHl par bikhre hue auraq-e-rangin hain
magar ek musht-e-par se puchhiye raaz-e-gulistan ko
dikhai surat-e-gul par bahaar-e-shokHi-e-pinhan
chhupaya ma’ani-e-gul mein kuchh husn-e-numayan ko
tamanna hai nikal kar samne bhi ’ishwa-farma ho
koi deta hai jumbish barda-e-be-tabi-e-jaan ko
na main diwana hun 'asghar' na mujh ko zauq-e-'uryani
koi khinche liye jata hai KHud jaib-o-gareban ko
- Book : Nairang-e-Khayaal (Eid Number) (Pg. 227)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.