dekh kar kali ghaTa gardun pe yun chhai hui
dekh kar kaalī ghaTā gardūñ pe yuuñ chhā.ī huī
phir rahī hai tauba har botal pe lalchā.ī huī
shaiḳh jī piite nahīñ haiñ haañ magar ye baat hai
jaam par paḌtī hai un kī aañkh lalchā.ī huī
ban-sañvar kar ā.īna dekhā to farmāne lage
aaj dekhā chāhiye kis kis kī hai aa.ī huī
ba.ad-e-murdan bhī na chhoḌā saath us kā naam hai
nā-murādī baiThī hai madfan pe itrā.ī huī
kis jagah the raat kyā guzrī batāo kyā huā
kuchh pata kī kah rahī hai aañkh sharmā.ī huī
shukr hai allāh kā ki bazm-e-mai-ḳhvāroñ meñ aaj
hazrat-e-'asġhar' se bhī apnī shanāsā.ī huī
dekh kar kali ghaTa gardun pe yun chhai hui
phir rahi hai tauba har botal pe lalchai hui
shaiKH ji pite nahin hain han magar ye baat hai
jam par paDti hai un ki aankh lalchai hui
ban-sanwar kar aaina dekha to farmane lage
aaj dekha chahiye kis kis ki hai aai hui
baad-e-murdan bhi na chhoDa sath us ka nam hai
na-muradi baiThi hai madfan pe itrai hui
kis jagah the raat kya guzri batao kya hua
kuchh pata ki kah rahi hai aankh sharmai hui
shukr hai allah ka ki bazm-e-mai-KHwaron mein aaj
hazrat-e-'asghar' se bhi apni shanasai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.