khol kar aankhen jo dekha to jahan kuchh bhi nahin
khol kar āñkheñ jo dekhā to jahāñ kuchh bhī nahīñ
mā-sivā-e-ranj-o-hasrat ke yahāñ kuchh bhī nahīñ
ham azal se sun ke aa.e the bahut tārīf par
haaye jab duniyā ko dekhā to yahāñ kuchh bhī nahīñ
dīda-e-dil khol kar gor-e-ġharībāñ dekh lo
ġhāfilo hu kā samāñ hai aur vahāñ kuchh bhī nahīñ
kal to uḌte the pharere aaj un kī qabr par
nā-murādī kā hai jhanDā aur nishāñ kuchh bhī nahīñ
jin hasīnoñ meñ bhare the kuuT kar nāz-o-adā
sab ke sab ḳhāmosh haiñ ab shoḳhiyāñ kuchh bhī nahīñ
vaqt-e-rehlat pūchhā daarā se kaho kyā le chale
dast-e-hasrat mil ke bolā mehrbāñ kuchh bhī nahīñ
rañj hogā dekh loge turbat-e-‘asġhar’ agar
kHāk-o-miTTī ke sivā ab to vahāñ kuchh bhī nahīñ
khol kar aankhen jo dekha to jahan kuchh bhi nahin
ma-siwa-e-ranj-o-hasrat ke yahan kuchh bhi nahin
hum azal se sun ke aae the bahut tarif par
haye jab duniya ko dekha to yahan kuchh bhi nahin
dida-e-dil khol kar gor-e-ghariban dekh lo
ghafilo hu ka saman hai aur wahan kuchh bhi nahin
kal to uDte the pharere aaj un ki qabr par
na-muradi ka hai jhanDa aur nishan kuchh bhi nahin
jin hasinon mein bhare the kuT kar naz-o-ada
sab ke sab KHamosh hain ab shoKHiyan kuchh bhi nahin
waqt-e-rehlat puchha dara se kaho kya le chale
dast-e-hasrat mil ke bola mehrban kuchh bhi nahin
ranj hoga dekh loge turbat-e-‘asghar’ agar
kHak-o-miTTi ke siwa ab to wahan kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.