tu jogi ban na birogi ban na laga ke KHak tu ban mein ja
tū jogī ban na birogī ban na lagā ke ḳhaak tū ban meñ jā
tujhe us kī shaan hai dekhnī kisī ma.arifat ke chaman meñ jā
jo ḳhudī ko apne miTā.egā to ḳhudā kī zaat ko pā.egā
tujhe us kā nuur hai dekhnā to misāl-e-chāñd-gahan meñ jā
vahī raam meñ vo rahīm meñ vahī alif laam aur miim meñ
vahī kah ke kun kahīñ chhup gayā use DhūñDh apne hī ban meñ jā
vahī badr meñ vo hilāl meñ vahī ruḳh meñ gesū meñ ḳhaal meñ
mujhe us kā kuchh bhī pata nahīñ use dekh chāh-e-zaqan meñ jā
tū 'abas miTātā hai rañg-o-bū tujhe kaun jaane hai kaun tū
kahā maan 'asġhar' be-navā tū yahāñ se apne vatan meñ jā
tu jogi ban na birogi ban na laga ke KHak tu ban mein ja
tujhe us ki shan hai dekhni kisi marifat ke chaman mein ja
jo KHudi ko apne miTaega to KHuda ki zat ko paega
tujhe us ka nur hai dekhna to misal-e-chand-gahan mein ja
wahi ram mein wo rahim mein wahi alif lam aur mim mein
wahi kah ke kun kahin chhup gaya use DhunDh apne hi ban mein ja
wahi badr mein wo hilal mein wahi ruKH mein gesu mein KHal mein
mujhe us ka kuchh bhi pata nahin use dekh chah-e-zaqan mein ja
tu 'abas miTata hai rang-o-bu tujhe kaun jaane hai kaun tu
kaha man 'asghar' be-nawa tu yahan se apne watan mein ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.