pi ke nikla hai jo saqi tere mai-KHane se
pī ke niklā hai jo saaqī tere mai-ḳhāne se
rāz-e-dil vo na kahegā kisī be-gāne se
munkashif hogā na kā'be se na but-ḳhāne se
pūchhiye rāz-e-anal-haq kisī dīvāne se
māya-e-nāz hai ai ahl-e-ḳhirad siikh to lo
ātish-e-'ishq meñ jalnā kisī parvāne se
muñh na pherūñgā kabhī jānib-e-firdaus-e-barīñ
mar ke bhī murshid-e-kāmil tere kāshāne se
sāl-hā-sāl se dīvāna yahāñ baiThā hai
lau lagā.e hue saaqī tere mai-ḳhāne se
mohtasib ne jo nikālā mujhe mai-ḳhāne se
duur tak aañkh milāte ga.e paimāne se
mujh ko to ġhair se takrār kā sadma yuuñ hai
thoḌā-thoḌā vo hue baat ke baḌh jaane se
aap itnā to zarā hazrat-e-nāseh samjheñ
jo na samjhe use kyā fā.eda samjhāne se
aaj to ḳhum hī mire muñh se lagā de saaqī
merī nīyat nahīñ bhartī tere paimāne se
tum zarā hazrat-e-nāseh ko dikhā do jalva
baaz aatā nahīñ zālim mere samjhāne se
maiñ ne chakhī thī ki saaqī ne kahā joḌ ke haath
aap lalā chale jā.iye mai-ḳhāne se
na uThe jor kisī se to vo ro kar bole
be-mazā ho ga.e ham 'ashk' ke mar jaane se
pi ke nikla hai jo saqi tere mai-KHane se
raaz-e-dil wo na kahega kisi be-gane se
munkashif hoga na ka'be se na but-KHane se
pūchhiye raaz-e-anal-haq kisi diwane se
maya-e-naz hai ai ahl-e-KHirad sikh to lo
aatish-e-'ishq mein jalna kisi parwane se
munh na pherunga kabhi jaanib-e-firdaus-e-barin
mar ke bhi murshid-e-kaamil tere kashane se
sal-ha-sal se diwana yahan baiTha hai
lau lagae hue saqi tere mai-KHane se
mohtasib ne jo nikala mujhe mai-KHane se
dur tak aankh milate gae paimane se
mujh ko to ghair se takrar ka sadma yun hai
thoDa-thoDa wo hue baat ke baDh jaane se
aap itna to zara hazrat-e-naseh samjhen
jo na samjhe use kya faeda samjhane se
aaj to KHum hi mere munh se laga de saqi
meri niyat nahin bharti tere paimane se
tum zara hazrat-e-naseh ko dikha do jalwa
baz aata nahin zalim mere samjhane se
main ne chakhi thi ki saqi ne kaha joD ke hath
aap lala chale jaiye mai-KHane se
na uThe jor kisi se to wo ro kar bole
be-maza ho gae hum 'ashk' ke mar jaane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.