jise did teri nasib ho wo nasib qabil-e-did hai
jise diid terī nasīb ho vo nasīb qābil-e-dīd hai
ki shab-e-barāt hai raat use din us ke vāste 'iid hai
koī farq husn meñ kyā kare tire aur yūsuf-e-misr ke
magar itnī baat zarūr hai ki ye diid hai vo shanīd hai
unheñ nāma-bar ne jo ḳhat diyā to ye kah ke qatl use kiyā
na pahuñchnā phir ke vahāñ terā yahī us ke ḳhat kī rasīd hai
unheñ dushmanoñ ke muqāble meñ ho paas kyā kisī dost kā
jo qarīb hai vo qarīb hai jo ba'īd hai vo ba'īd hai
zarā shoḳhī un kī to dekhiye ki bulā ke mahfil-e-ġhair meñ
mujhe dekhte haiñ vo ġhaur se ye adā bhī qābil-e-dīd hai
merī qadr jiite hī jī unheñ huī jab na ḳhaak to phir bhalā
vo paḌheñge qabr pe fātiha ye zarūr mujh ko ummīd hai
dam-e-naza' jaatā hai tū jidhar tujhe dekhtā hai marīz-e-ġham
tire saath phirtī haiñ putliyāñ ye vufūr hasrat-e-dīd hai
huā mujh se hashr meñ sāmnā to vo bole ‘vājid’-e-bā-vafā
kare tū hamārā yahāñ gilā to ye baat tujh se ba'īd hai
jise did teri nasib ho wo nasib qabil-e-did hai
ki shab-e-baraat hai raat use din us ke waste 'id hai
koi farq husn mein kya kare tere aur yusuf-e-misr ke
magar itni baat zarur hai ki ye did hai wo shanid hai
unhen nama-bar ne jo KHat diya to ye kah ke qatl use kiya
na pahunchna phir ke wahan tera yahi us ke KHat ki rasid hai
unhen dushmanon ke muqable mein ho pas kya kisi dost ka
jo qarib hai wo qarib hai jo ba'id hai wo ba'id hai
zara shoKHi un ki to dekhiye ki bula ke mahfil-e-ghair mein
mujhe dekhte hain wo ghaur se ye ada bhi qabil-e-did hai
meri qadr jite hi ji unhen hui jab na KHak to phir bhala
wo paDhenge qabr pe fatiha ye zarur mujh ko ummid hai
dam-e-naza' jata hai tu jidhar tujhe dekhta hai mariz-e-gham
tere sath phirti hain putliyan ye wufur hasrat-e-did hai
hua mujh se hashr mein samna to wo bole ‘wajid’-e-ba-wafa
kare tu hamara yahan gila to ye baat tujh se ba'id hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.