hai hukm KHuda ka ye quran paDho samjho
hai hukm ḳhudā kā ye qur.ān paḌho samjho
sunnat hai nabī kī jo vo kaam kaaro samjho
haq vāloñ kā shaidā.ī kahte ho agar ḳhud ko
baat aa.e agar haq kī haq baat kaho samjho
sunñā to paḌegī hī rūdād tumheñ merī
ehsān kaaro mujh par aur baat suno samjho
tum merī zarūrat ho tum merī zarūrat ho
tum saath chalo mere aur saath raho samjho
shaidā.ī zamāna hai un kā to zamāne meñ
shaidā.ī bano un ke aur un pe maro samjho
haiñ riñd hazāroñ par saaqī to akelā hai
majbūri-e-sāqī bhī ai tishna-labo samjho
jis baat ke afsāne mash.hūr hoñ duniyā meñ
tum chhoḌo unheñ 'āsif' kuchh aur likho samjho
hai hukm KHuda ka ye quran paDho samjho
sunnat hai nabi ki jo wo kaam karo samjho
haq walon ka shaidai kahte ho agar KHud ko
baat aae agar haq ki haq baat kaho samjho
sunna to paDegi hi rudad tumhein meri
ehsan karo mujh par aur baat suno samjho
tum meri zarurat ho tum meri zarurat ho
tum sath chalo mere aur sath raho samjho
shaidai zamana hai un ka to zamane mein
shaidai bano un ke aur un pe maro samjho
hain rind hazaron par saqi to akela hai
majburi-e-saqi bhi ai tishna-labo samjho
jis baat ke afsane mashhur hon duniya mein
tum chhoDo unhen 'asif' kuchh aur likho samjho
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 250)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.