asir-e-halqa-e-gesu-e-yar hum bhi hain
asīr-e-halqa-e-gesū-e-yār ham bhī haiñ
kisī ke tīr-e-nazar ke shikār ham bhī haiñ
hameñ to shahr meñ rindoñ ke saath rahnā hai
ġhulām-e-sāqī-e-'ālī-vaqār ham bhī haiñ
vahī nahīñ haiñ faqat dil ke lene par majbūr
ki dil ke dene meñ be-iḳhtiyār ham bhī haiñ
vo bāġh-e-ḳhuld ke shohra hai jiskā 'ālam meñ
usī chaman kī guzashta bahār ham bhī haiñ
hazār ahl-e-ḳhirad ke liye haiñ dil tum ne
hamārā dil bhī to lo hoshiyār ham bhī haiñ
sabā sambhal ke qadam kū-e-yār meñ rakhnā
ki us galī meñ ba-shakl-e-ġhubār ham bhī haiñ
balā se ham se bhī 'nayyar' ḳhilāf ho koī
asīr-e-ulfat-e-ahl-e-mazār ham bhī haiñ
asir-e-halqa-e-gesu-e-yar hum bhi hain
kisi ke tir-e-nazar ke shikar hum bhi hain
hamein to shahr mein rindon ke sath rahna hai
ghulam-e-saqi-e-'ali-waqar hum bhi hain
wahi nahin hain faqat dil ke lene par majbur
ki dil ke dene mein be-iKHtiyar hum bhi hain
wo bagh-e-KHuld ke shohra hai jiska 'alam mein
usi chaman ki guzashta bahaar hum bhi hain
hazar ahl-e-KHirad ke liye hain dil tum ne
hamara dil bhi to lo hoshiyar hum bhi hain
saba sambhal ke qadam ku-e-yar mein rakhna
ki us gali mein ba-shakl-e-ghubar hum bhi hain
bala se hum se bhi 'nayyar' KHilaf ho koi
asir-e-ulfat-e-ahl-e-mazar hum bhi hain
- Book : Diwan-e-Naiyar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.