kya rab se aur mangun main uske milan ke baad
kyā rab se aur māñgūñ maiñ us ke milan ke ba.ad
allāh ḳhud milā hai mujhe jis sajjan ke ba.ad
jachtā hī kuchh nahīñ hai ab us pairahan ke ba.ad
utran kī terī aisī nirālī phaban ke ba.ad
vo piir aur hoñge jo DhūñDeñ murīd ko
jān-e-masīh milte haiñ lākhoñ jatan ke ba.ad
sab talḳhiyāñ zamāne kī dil bhūlne lagā
tīr-e-nigāh-e-yār kī mīThī chubhan ke ba.ad
koī to ḳhaas baat hai us bazm-e-nāz meñ
Thahrā na dil kahīñ bhī tirī anjuman ke ba.ad
maiñ tum ko chhoḌ dūñgā to sab chhūT jā.eñge
sab kī lagan lagī hai tumhārī lagan ke ba.ad
'mājid' ke jitne sher haiñ nashtar kī den haiñ
ye raaz ham ne jaanā hai mashq-e-suḳhan ke ba.ad
kya rab se aur mangun main us ke milan ke baad
allah KHud mila hai mujhe jis sajjan ke baad
jachta hi kuchh nahin hai ab us pairahan ke baad
utran ki teri aisi nirali phaban ke baad
wo pir aur honge jo DhunDen murid ko
jaan-e-masih milte hain lakhon jatan ke baad
sab talKHiyan zamane ki dil bhulne laga
tir-e-nigah-e-yar ki miThi chubhan ke baad
koi to KHas baat hai us bazm-e-naz mein
Thahra na dil kahin bhi teri anjuman ke baad
main tum ko chhoD dunga to sab chhuT jaenge
sab ki lagan lagi hai tumhaari lagan ke baad
'majid' ke jitne sher hain nashtar ki den hain
ye raaz hum ne jaana hai mashq-e-suKHan ke baad
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 149)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.